Tuesday, June 23, 2009

Shayari Collections Updated

1. Chand adhoora hain sitaron ke bina, gulshan adhoora hain baharon ke bina, samundar adhura hain kinaron ke bina, jeena adhura hain tum jaise yaaron ke bina.

2. Najar jhuki to pemaane bane, dil toote to maikhane bane, kuch na kuch to zaroor hai aap mein yuhin nahi hum aapke dewaane bane.

3. Raat hui jab shaam ke baad, teri yaad aayi har baat ke baad, humne khamosh reh kar bhi dekha, teri aawaz aayi har saans ke baad.

4. Aapke mehfil ka Sama suhana lage, Ek pal churalu agar bura na lage, hame to aap bhul jayenge, Lekin aapko bhul ne me shayad zamana lage.

5. Dua karte hain hum sar jukaye… Ae dost tu apni manzil ko paaye…Agar kabhi teri raho me andhera aaye…. Roshni ke liye khuda hum ko jalaaye.

6. Roz ek nayi shikayath hai aap se, kaun jane kitni mohabbat hai aap se, nahi thukrana is dosti ko aye dost… bas itni guzarish hai aap se.

7. Ehsaan doston par jatane nahin hote, karz dosti mein chukane nahin hote, bas salamat rahe ye dosti hamari, ye wo rishte hain jo kabhi purane nahin hote.

8. Ho saktha hai barish ke baad aasman nila na ho, ho saktha hai dhup aane par sarso pili na ho, par aisa kaise ho sakta hai, apki yaad aaye aur ankhen gili na ho.

9. Yun to apko roz yaad kiya karte hain, man hi man main dekh liya karte hain. Kya hua agar aap pas nahi hamare…Dil hi dil main mulakatein kar liya karte hain.

10. Tere bina raha nahin jata, kuch khaya-kuch piya nahi jata. Tumhara khayal jo dil me hai voh nikala nahi jata. Aur kya kahu tumse isse zyada jhoot bola nahi jaata.

11. Hum woh nahi jo tujhe gum mein chhod denge, hum woh nahi to tujhse naata tod denge, hum to tere woh DOST hain jo agar teri saas bandh ho to apni saase jod denge.

12. Is kadar hamari chahat ka imteha na lijiye, kyon ho humse khafa ye bayan to kijiye, kardijiye maaf agar ho gayi humse khata, yu khamosh rehkar hume saza na dijiye.

13. Dil ke galiyo mein koyi gham na ho, hamari yeh dosti kabhi kam na ho, bas yahi dua hai ki tum khush raho, kya pata hum agar KAL HO NA HO.

14. Aapke aashiyana hum ne dil me basa rakha hain, aapki yaadon ko seene se laga rakha hain, pata nahi aapki yaad aati hai kyon, dost toh hum ne auron ko bhi bana rakha hai.

15. Rone se taqdeer nahin badal te, chup rahne se sawal nahin ruk te, yeh zindagi hain yahan har kisi ko sab kuch nahin milte.

16. Yaad karte hain yaaron ko, yaadon se dil bhar aata hain, kabhi saath jiya karte te sab, aaj milne ko dil taras jaata hai.

17. Tanhai mein vaqt guzara karte hain, hum har din har pal aapko yaad kiya karte hain, hum nahi jaante par aapko maloom hain, ki hum nind me bhi aapka naam liya karte hain.

18. Dosti gunah hai to hone na dena, dosti khuda hain to khone na dena, karte ho dosti jab kisi se to mere yaar kabhi dost ko rone na dena.

19. Kisi dhadke dil ke peeche koi baat hoti hain, hur dard ke peeche kisi ki yaad hoti hain, aapko pata ho, na ho, aapki har khushi ke peeche hamari fariyad hoti hain.

20. Ulfat me kabhi yeh haal hota hain, ankhen hasti hain, magar dil rota hain. Maante hain hum jise manzil apni, humsafar uska koi aur hota hai.

21. Dil ke dard ko dil thodne wala kya jaane, pyar ke riwaz ko e zamaana kya jaane, hoti hain kitni takleef kabar mein, e oopar se phool chadane wala kya jaane.

22. Zindagi mein hamesha haste raho. Hasna zindagi ki zaroorat hain. Zindagi jiyo is andaz mein ki tumhe dekh kar sabko lage zindagi kitni khoobsurat hain.

23. Paani mein paththar na maro, usey koi aur bhi peetha hain, has ke jiya karo aapko dekh ke koi aur bhi jeeta hain.

24. Tanhaiyon mein fariyad to kar sakte hain, viraano ko aabaad to kar sakte hain, kya hua aap se mil nahi sakte lekin aapko yaad to kar sakte hain.

25. Chand par kaali ghata chhati hogi, sitaron ko muskurahat aati hogi, tum laakh chupao duniya se magar akele mein tumhe meri yaad aati hogi.

26. Tum door ho to kya hua, dil mein hain yaad tumhari, yeh dooriyan khud hi mit jaayengi, jab aayegi tumhe yaad hamaari.

27. Talash karoge to koi mil jaayega, par kaun hai jo tumhe meri tarah chahega, dekhta hoga tumhe bhi koi chahat ki nazar se, par woh meri nazar kahan se laayega.

28. Log kehte hain aap jise pyar karte hain, woh chand ka tukda hota hain, lekin hum kehte hain, hum jise pyar karte hain chand usi ka tukda hain.

29. Na chaho kisi ko ke, uski chahat tumhare liye zaroori banjaaye, chaho kisi ko itna ke, tumhari chahat uske liye majboori banjaaye.

30. Bin badal barsaat nahin hoti, suraj doobe bina raat nahin hoti, aye dost kisi ka dil mat todna, dil tootne ki awaaz nahin hoti.

31. Dua mangi thi aashiyane ki… chal padi andhiyan zamaane ki… mera gham koi na samajh paya…kyonke meri aadath thi muskuraane ki.
32. Dil diya aitbar ki hadh thi…jaan de diya mere pyar ki hadh thi…mar kar bhi aankhen khuli reh gayi…aur kuch nahin yeh tere intezar ki hadh thi.

33. Ishq kar deta hai bekharaar…bhar deta hai paththaron ke dil mein pyar..har ek ko nahin milti zindagi ki ye bahaar..kyonki ishq ka dusra naam hai intezar.

34. Anjaane mein koi baat nahin hoti… suraj ke hote raat nahin hoti…Chahte hain hum jinhe jaan se bhi zyaada… chahkar bhi unse mulakaat nahin hoti.

35. Tum to gairon ki baat karte ho… Humne to apnon ko aazmaaya hai. Tum kaanton ki baat karte ho. Humne to phoolon se zakhm khaaya hai.

36. Dil ke rishtey bhi ajeeb hote hain, door rehkar bhi Qareeb hote hain, jo log aapko roz dekhte hain woh log kitne khushnaseeb hote hain.

37. Na koi kisi ke paas hota hai……na koi kisi ke dur hota hai….pyar khud chalkar aata hai jab koi kisi ka naseeb hota hai.

38. Hum raat ki tanhaiyo mein aapko awaaz diya karte hain, aur sitaron se zikar kiya karte hain, aap aaye na aaye, magar hum qwabon me aap ka intezar kiya karte hain.

39. Hume aapse itni mohabbat hain iska koi andaaza nahin, magar kaise dikhaaye dil ka koi darwaaza nahin.

40. Arz kiya hai, suraj bana to badal bane, chand bana to taare bane, kuch to hai baat aap mein, yun hi to nahin hum aapke dewaane bane.

41. Zindagi ek chahat ka silsila hai, koi milgaya to koi bichad gaya. Jinhe maangta duwaon mein, wo kisi aur ko bina maange hi mil gaya.

42. Chaho to dil me se hum ko mita dena, chaho to humko bhula dena, par ye wada karo ke, aaye jo kabhi yaad hamari, rona mat sirf muskura dena.

43. Duwaon ke bheed mein ek dua hamari, jisme maangi humne har khushi tumhari, jab bhi koi dastak sunaayi de dil pe samjho, dua qubool hua hamari.

44. Koshish bahut ki dil ko samjhaane ki, ankhon ko kasam di sojaane ki, bahut samjhaaya phir bhi aankhen nahin soi, soi tab jab maine baat ki aap ke qwaabon me aane ki.

45. Ankhon me basey ho kajal ki tarah, kabhi dard bankar nahin nikalna aansu ki tarah, basey ho mann me yaad ki tarah, kabhi bhula na dena mujhe qwab ki tarah.

46. Phool khilte hain, baharon ka sama hota hai…… aise mousam me hi pyar jawa hota hai……dil ki baatonko hotonse nahin kehate…… ye fasana to nigaahonse bayan hota hai.

47. Logon nei dharti dekhi ambar dekha mousam dekhe aur jeevan bhi dekh liya; Hamari yeh nazarein aur kya dekhen, jisne aapka yeh haseen chehra dekh liya.

48. Agar ek zanjeer mil jaaye to mohabbat se puri duniya bandh lun…Teri ek tasveer mil jaaye to tasveer mei apne khuda ko dekh lun.

49. Likhne chale the shikayat tere naam… Galti se mohabbat naama likh diya… Kehne chale the nafarat ki baat… Galati se mohabbat ka pegaam likh diya.

50. Mohabbat ka dariya nahi mangte hain…Ho sake toh thodi si chahat de de… Maang ka sindhoor nahi mangte hain… Ho sake toh kadamon ki dhuul hi de de.

51. Jab zindagi sajti hai to dulhan si lagti hai… Jab yeh rang badalti hei toe ek bewa si lagti hai…Yeh beraham toh kisi se bhi vafa nahi karti hai… Phir bhi kyon sabko yeh mehbooba si lagti hai.

52. Kuch aansoo jo mere tum na paaye… Zindagi ke saath chalte rah har pal mere saaye… Maine manga tha roshni ka chiraag… Aur andhere mujhe ujalon mein nazar aaye.

53. Chaand kaliyan nishat ki chunkar muddaton mein be-aas rehta hoon……Tumse milna khushi ki baat sahi tumse milkar udaas rehta hoon.

54. Zindagi mein to musafir hoon teri kashti ka…Tu jahan mujhse kahegi mein utar jaoonga…Poochh kar mera pata wakht ko barbaad na kar…Main to banjara hoon na jane kidhar jaoonga.
55. Phool reh jayenge guldano mein yadon ki nazar… Mein to khushboo hoo fizaon mai bikhar jaoonga… Itna toota hoon ki chhune se bikhar jaoonga…Ab agar aur dua doge to mar jaoonga.

56. Khud Hee Ho Jata Hai…Ishq to khud hee ho jaata hai…Dil bhi apna kho jaata hai…Jab aisa ho jaata hai… To dil bekaraar ho jaata hai.

57. Kash dil ki awaaz mein itni asar hojaaye……ki hum aapko yaad kare aur aapko qabar hojaaye……aaj khuda se itni hi dua hai, aap jo bhi chahe wo haqiqat ho jaaye.

58. Hasraton pe rivaajo ka sakt pehraa hai, Na jaane kaun si ummeed pe jaake, yeh dil tehraa hai, Meri aankhon mein se chhalakte hue yeh ashk aur gum ki kasam; Mera yeh pyaar.... Bahot gehraa hai...

59. Husn Pe Jab Masti Chhaati Hai, Shayari Par Bahaar Aati Hai, Pee Ke Mehboob Ke Badan Ki Sharaab, Zindagi Jhoom-jhoom Jaati Hai.

60. Kahani ban ke Jiyen hain woh Dil ke Aashiyane mein… Lagegi humko bhi Sadiyan unhe Bhulane mein.

61. Ek hasi jo hasa de, ek aansu jo rulaa de, ek arzoo jo jaga de, ek chahat jo samaj le, ek aahat jo jaan le, aisi rishtey ka naam hai DOSTI….

62. Tadap ke dekho kisi ki chahat mein, toh pata chale intezar kya hota hai, yun hi mil jaaye jo koi bina chahe, toh kaise pata chale pyar kya hota hai.

63. Dard kaafi hai bekhudi ke liye…… Maut zaroori hai zindagi ke liye… Kaun marta hai kisi ke liye……Hum to zinda hai sirf aapke liye.

64. Ek hi duniya me rehte hai phir bhi mil nahin paate hain…… tumse toh achche tumhaare qwab hai, jo aankh bundh karte hi chale aate hai……

65. Badi muddat se chaha hai tujhe, badi duaon se paaya hai tujhe, tujhe bhulane ki sochu bhi to kaise, kismat ki lakiron se churaya hai tujhe.

66. Kismat se apni sabko shikhayat kyon hoti hai, jo nahin mil sakta usise mohabbat kyon hoti hai, kitne khade hai raahon mein dil ki… phir bhi dil ko usi ki talash kyon hoti hai.

67. Tum milo na milo, milne ka gham nahin, tum paas se guzro jo yeh milne se kam nahin, maana tumhe hamaari zaroorat nahin, unse pooch jinhe hum haasil nahin.

68. Khushi mili has na sake…gham mili to ro na sake…Zindagi ki yahi dastur hai…jise chaha usey pa na sake…aur jise paya usey chah na sake…

69. Dono aankhon mein ashq diya karte hain…hum apne neendein tere naam karte hain…jab bhi aaye hichki tumhe…, samajh lena hum yaad kiya karte hain…

70. Hamein bhool jaana aapki aadat sahi……par hamein bhool paana aapki kismat mein nahin, chaho to aazmaa ke dekh lo, khud ko bhool jaoge par hamein nahin……

71. Har pal tujhse baat karne ki pyas hai……har waqt tujhse milne ki aas hain……na jaane kyon bar bar hota yeh ehsaas hai… ke door hokar bhi tu mere paas hai……

72. Tumhe chahne wale kham na honge……waqt ke saath shaayad hum na honge……Kisi ko kitna bhi pyar dena…par tumhari yaadon ke haqdaar sirf hum hi honge…

73. Haqiqat mohabbat ki judaai hoti hai……kabhi-kabhi pyar mein bewafai hoti hai……Hamari taraf haath badakar dekho…dosti mein kitni sachchai hoti hai…

74. Pee le sharaab har gali har maikhaane se…Ek dosti si ho gayi hai sharaab ke jaam se…guzare hain hum kuch aise mukam se…ke nafrat si ho gayi mohabbat ke naam se…

75. Yaad karne ke liye koyi cheez chahiye…… aap na toh aapki tasveer chahiye……par woh hamara dil behla na sakegi……kyonki who aapki tarah muskura na sakegi……

76. Zindagi tujh bin ulfat si lagti hai……ek pal ki judaai muddat si lagti hai……pehle nahin ab sochte hain…teri har lamha zaroorat si lagti hai……

77. Unki tasveeron ko seene se laga lete hai……is tarah judaai ka gham mita dete hai……kisi tarah kabhi unka zikr ho jaaye…toh bheegi palkon ko chupke se jhuka lete hai…

78. Chiraagon se andhere door ho jaate…toh chand ki chahat kise hoti……kat sakti akeli yeh zindagi…toh ishq naam ki cheez hi kyon hoti……

79. Har dhadkan mein ek raaz hota hai…baat ko bataane ka ek andaaz hota hai……jab tak thokar na lage bewafai ki…har kisi ko apne pyar par naaz hota hai……

80. Nigaahen aapki pehchaan hai hamari…muskurahat aapki shaan hai hamari……rakhna hifazat se tum apne aap ko…kyonki jism hai aapki jaan hai hamari…

81. Dil mein tumhare apni kami chod jaayenge, Aankhon mein aansuon ki nami chod jaayenge, Yaad rakhna, mujhe dhoondte phiroge ek din jab hum yeh zindagi chod jaayenge.

82. Gham mein hasnewalon ko rulaya nahin jaata… Leharon se paani ko hataya nahin jaata, banane wale ban jaate hain apne…kisiko kehkar apna banaya nahin jata……

83. Dil todna hamari aadat nahin…dil hum kisi ka dukhate nahin……bharosa rakhna meri wafaon pe…dil mein basake hum kisi ko bhulate nahin……

84. Chup rahte hain ki koyi khata na ho jaaye…hum se koyi ruswa na ho jaaye……badi mushkil se koyi apna bana hai……mil ne se pehle hi juda na ho jaaye……

85. Waqt to hamein bhula chuka hai…muqaddar bhi na bhula de……ab pyar hum isliye nahin karte…kyon ki darte hain koyi phir se na rula de……

86. Laut jaati hain duniya gham hamara dekhkar…jaise laut jaati lehrein kinara dekhkar……tu kanda na dena mere janaze ko…kahi phir zinda na ho jaoon tere sahara dekhkar……

87. Tum se doori ka ehsaas jab satane laga…tere saat guzara har lamha yaad aane laga……jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki……tu dil ke aur qareeb aane laga……

88. Kitna pyar karte hain hum unse…Kash unko bhi yeh ehsaas ho jaaye……magar aisa na ho ke who hosh mein tab aaye…jab hum kisi aur ka ho jaaye……

89. Na qwabon mein dekha…nazaron mein dekha … hazaaron mein ek aap hi ko dekha……gham dene wale har pal hai yahan…har pal khushi dene wale mein ek aap hi ko dekha……

90. Kabhi teri palkon pe jhilmilaoon main…tu intezar kare aur na aaoon main……beech samundar mein dhoka na dena…to kahe toh kinaron pe doob jaaoon main……

91. Dil to dard ke sagar me doob gaya…magar in aankhon se roya na gaya……kuch zakhm judaai ke aise mile ki …phoolon ke bistar pe bhi soya na gaya……

92. Chandni raaton mein sara jahan sota hai…kisi ki yaad mein badnaseebi rota hai……khuda kisiko kisi par fida na kare…aur kare toh qayamat tak juda na kare……

93. Woh dil kya jo milne ki dua na kare…tujhe bhul kar jiyoon khuda na kare……rahegi teri dosti meri zindagi bankar…ye baat aur hai agar zindagi hi wafa na kare…

94. Kisi ko apna banane mein der lagta hai…wada nibhane mein der lagta hai……Pyar toh pal bhar mein ho jaata hai…lekin usey bhulane mein umar lagta hai…

95. Dil ki hasrat zuba par aane lagi…unhe dekha aur zindagi muskurane lagi……Yeh ishq ki inteha thi ya meri dewangi…har surat mein surat unki nazar aane lagi…

96. Fiza mein mehakti sham ho tum…pyar mein jalakta jaam ho tum……tumhe dil mein chupaye phirte hain…meri zindagi ka doosra naam ho tum…

97. Kalam uthaya hai par lafz nahin milta…jisko dhoond rahe hai voh shaks nahin milta……phirte hain voh zamane ki talaash mein…bas hamare liye unhe waqt nahin milta…

98. Jin ki yaad mein hum dewaane ho gaye…voh hum hi se begaane ho gaye……shaayad unhe talaash hai ab kisi aur ki…kyonki unki nazar mein ab hum purane ho gaye…

99. Teri khushi se nahin gham se bhi rishta hai mera…yeh jo teri zindagi hai voh ek hissa hai mera…tujhse lafzon ka nahin ruh ka rishta hai mera…

100. Nazar andaaz kaise kare aap ko…nazaron mein bithaya hai aap ko……Yaad aane par aapki roye bhi to kaise…darrte hain jhuki jo palke to chubhengi aapko …

101. Sirf yaadon ka silsila reh gaya…khuda jaane unse hamara kya rishta reh gaya…ek chand chup gaya jaane kahan…ek sitara usey dhoondta reh gaya…

102. Pyar ki ek khamosh si murat ho tum…kaise kahoon kitne khoobsurat ho tum……zamane ke liye kya ho main nahin jaanta…meri har saans ki zaroorat ho tum…

103. Nadiyon se kinare chu toh jaate hain…aasmaan se taare toot jaate hain……zindagi ki raah mein aksar aisa hota hai…jinhe hum dil se chahte hain wohi hum se door jaate hain…

104. Dard mein voh bhi hain…dard mein hum bhi hain… voh aansu pee rahe hai…hum aansu ko hasee mein rok rahi hai…fark itna hai…voh zamane ko dikhate hai…hum khud se bhi chupate hain…

105. Reth pe naam kabhi likhte nahin…reth pe likhe naam kabhi tikte nahin……tum ne humei paththar dil toh keh diya…par paththar par likhe naam kabhi mit’the nahin…

106. Door hote huve bhi pyar ka rishta nibhate hain aap… Na jaane kyon dil ko lubhate hain aap……Yen kaisa karishma hai aap ka…jo hum ko itna yaad aati hai aap…

107. Yaadon mein hamari voh bhi khoye honge…khuli aankhon se kabhi voh bhi soye honge…… maana hasna ada hai gham chupane ki…par haste-haste kabhi voh bhi roye honge…

108. Aapko dekhkar yeh nigaah jhuk jaayegi…khamoshi ab har baat keh jaayegi……pad lijiye in aankhon mein apni mohabbat ko…aapki kasam saari qayamat wahin ruk jaayegi…

109. Palkon ke kinare jo humne bhigoye hi nahin…voh sochte hain hum roye hi
nahin…voh poochte hain qwabon mein kise dekhte ho…hum hai ek umar se soye hi nahin…
110. Khushiya to har koyi chahte hai…gham chahta hai koyi koyi…tukra to sabhi dete hai apnata hai koyi koyi… pyar to sabhi kar lete hain…par nibhata hai koyi koyi…

111. Kayi raaz aise hote hai jo kaha nahin jaate…kayi dil aise hote hai jo tode nahin jaate… aur kuch aap jaise dost aise hote hai jo chodei nahin jaate…

112. Dil dil se juda nahin hote…yuhin kisi par fida nahin hote…pyar se bada toh pyar ka rishta hai… kyonki pyar kabhi bewafa nahin hote…

113. Jab bhi aapse milne ki taqdeer nazar aayi…Mujhe paon mein baandhi zanjeer nazar aayi…teri yaad mein nikal padein mere aansu……har aansu mein teri tasveer nazar aayi…

114. Tamam umar zindagi se door rahe…teri khushi ke liye tujhse door rahe…Ab isse badkar wafa ki saza kya hogi… ki tere hokar bhi tujhse door rahe…

115. Meri chahat mein kami kuch bhi na thi…jaane kyon tu begaana ho gaya…tujhe kya lagta hai ki main khush hoon… Mujhe hansey to ek zamana ho gaya.

116. Maana yeh waqt hamei yaad karnewala nahin… Par bewaqt hi yaad kar liya karo… maana aapke aaspaas saari duniya hai… kabhi hamari kami ka bhi ehsaas kar liya karo.

117. Teri dosti mein ek nasha hai… tabhi toh yeh duniya humse kafaa hai… na karo humse itni dosti… ki dil hi pooche teri dhadkan kahaan hai…

118. Mushkilon se gabhraake ab jina nahin chahta… door aapse hoke rehna nahin chahta… yun toh bahut dhuk mile zindagi mein par aap jaisa yaar khona nahin chahta…

119. Tanhai mein har waqt dil udas hota hai… toote huve qwabon ke siva kuch na paas hota hai… yaad aise waqt unki sataati hai… jab akele hone ka ehsaas hota hai…

120. Tumhari yaadon ko rok pana hai mushkil… rote huve dil ko manana hai mushkil… yeh dil aapko kitna yaad karte hai… yeh lafzon se bayaan karna hai mushkil…

121. Rishton ki yeh duniya hai nirali… sab rishton se pyari hai dosti… Manzoor hai aansu bhi aankhon mein hamare… agar aa jaaye muskan hoton pe tumhaare…

122. Khuda ki banayi khudrat nahin dekhi… dilon mein chupi daulat nahin dekhi… jo bhi kehta hai ki dooriyon se mit jaati hai dosti… unhone shaayad hamari dosti nahin dekhi…

123. Kuch rishte anjaane mein ho jaate hain… pehle dil phir zindagi se jud jaate hain… kehte hai us daur ko dosti… jisme dil se dil na jaane kab mil jaate hai…

124. Suraj ke kiran roshni de aapko… gulab ke phool har khushi de aapko… hum toh kuch dene ke kaabil nahin… par denewala har khushiyan de aapko…

125. Sirf chahne se koi baat nahin hoti… suraj ki saamne kabhi raat nahin hoti… humne bhi kiya hai kisi ko jaan se bhi zyada pyar… woh saamne hai phir bhi baat nahin hoti.

126. Dooriyan se farq padtha nahin… baat toh dilon ki nazdikiyon se hoti hai… dosti toh kuch khaas aap jaise se hai verna… mulaaqaat na jaane kitno se hoti hai…

127. Jaam se kabhi itni nafrat na karo ki pina chaho to kabhi pi na sako… kisi ko bhi itna pyar na karo ki bichad kar jina chaho to ji na sako…

128. Yaad karte hai tumhe tanhai mein…basaya hai tumhe dil ki gehrai mein…… Mat dhoondo mujhe duniya ke bhid mein… hum milenge tumhe apni hi parchai mein…

129. Din ke saath raat nahin hoti, sitaron se dil ki baat nahin hoti… jin doston ko chahte hai hum, khuda jaane, unse kyon roz mulaqat nahin hoti…

130. Jinki yaad mein hum dewaane hogaye, woh hum hi se begaane ho gaye… shayad unhe talash hai ab naye dost ki, kyonki unki nazar mein ab hum purane ho gaye……

131. Bagair jaane pehchaane ikraar na kijiye… Muskurakar dil ko beqarar na kijiye… Gulab bhi de jaate hai zakham gehra kabhi kabhi… Har gulab par yun aitbar na kijiye…

132. Tumse doori ka ehsaas jab sataane laga… tere saath guzara har lamha yaad aane laga… Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki… tu dil ke aur qareeb aane laga…

133. Kuch fitrat hi aisi hui… ki pyar se jeene ki aadat na hui… Jinhe chaha who mil na sake… aur jo mile unse mohabbat na hui…

134. Ek lamhe mein unhone hamaari zindagi savaar di…. Ek lamhe mein unhone hamaari zindagi ujaad di… qasoor hamaara tha jo un do lamhon mein humne zindagi guzaar di….

135. Log milte hain… bichad jaate hain… sirf dil ke taar ched jaate hain… yun toh lete hai hum hazaaro naam par kuch aap jaise dost dil mein utar jaate hain…

136. Yaad aayi mujhe jab aapki… dil ne mehsus ki kami aapki… yeh aarzoo nahin ki kisiko bhulaaye hum… bas itna kaafi hai kisiko yaad aaye hum…

137. Silsile toh yun hi chalte rahenge… Faasle hai badalte rahenge… Aap kyon nahin samjhe hamaari baat ko… Aap ke bina toh hum pal pal marte rahenge…

138. Hum haste hai toh log samajhte hain humein aadat hai muskuraane ki… magar voh yeh nahin jaante hai ki yeh bhi ek ada hai gham chupane ki…

139. Tanhai mein akelapan saha jayega… par mehfil mein akela raha nahin jayega… unka saath na ho phir bhi jiya jayega… par unke saath koi aur ho yeh saha nahin jayega…

140. Rone se gham e dil ka guzara nahin hota… har shaks dil ka sahara nahin hota… us roz lagta hai bekar jiye hum… jis roz kabhi zikr tumhara nahi hota……

141. Humne bhi kisi se pyar kiya tha… raahon mein khade hokar intezar kiya tha… kasoor unka nahin hamara tha… jo humne hi ek bewafa se pyar kiya tha……

142. Har khamoshi ka matlab inkar nahin hota… har nakamyabi ka matlab haar nahin hota… kya hua agar hum unko pa na sake… sifr paane ka matlab hi toh pyar nahin hota……

143. Khuda se humne ek dua maangi… dua mein apni maut maangi, par khuda ne kaha maut to tujhe de doon par usko kya kahoon jisne teri lambi umar maangi……

144. Wafa ke naam se ghabraate hain…. Jidhar dekho gham hi gham nazar aate hain…. Dil ka dard aansu bankar na nikal jaaye…. Isliye hum har waqt muskurate hain….

145. Dil ka rishta hai hamara.. dil ki har kone mein hain naam tumhaara… har yaad mein hai chehra tumhara…. Paas nahin to kya hua… zindagi bhar saath nibhaane ka wada hamara…
146. Unhe aadat hai zakhm dene ki…. Apni to fitrat hai gham chupane ki…. Ab to aadat si pad gayi hain aansu pi jaane ki…. Kya haseen saza di hai zaalim ne dil lagaane ki…

147. Jawani ko zindagi ka nikhar kehte hai… patjhad ko chaman ka manjdhar kehte hain…. Ajeeb chalan hai duniya ka yaaron…. Ek dhoka hai jisko sab pyar kehte hain…

148. Sehami si nigahon mein khwab hum jaga denge…. Sooni si rahon mein phool hum bicha denge…. Hamaare sang muskuraane ka wada toh kijiye…. Hum aapka har gham bhula denge…

149. Palkon mein qaid kuch sapne hai…. Kuch begaane hai, kuch apne hai…. Na jaane kya kashish hai in khayalon mein…. Voh gair hoke bhi kitne apne hai….
150. Phoolon se bhi kya dosti karni….kuch pal baad murjha jaate hain Dosti karo toh kaanton se…. chubne ke baad bhi yaad aate hain.

151. Voh ruthe is kadar ki manaya na gaya…. Door itne ho gaye ki paas bulaya na gaya…. Dil toh dil tha samundar ka reth nahin…. Likh diya jo uska naam toh phir mitaaya na gaya…

152. Khudrat ke karishmon mein agar raat na hoti…. Toh khwabon mein unse mulaqat na hoti…. Yeh dil har gham ki vajah hai…. Dil hi na hota toh koi baat na hoti……

153. Nazar andaaz kaise kare aapko…. Nazaron mein bithaya hai aapko…. Yaad aane par aapki roye bhi toh kaise…. Darte hai, jhuki jo palke toh chubengi aapko……

154. Chale aaon hum tumhe yaad karte hain…. Yeh voh guna hai jo hum baar baar karte hain…. Jala ke dil mein hasraton ke chiraag…. Aapke aane ka intezar karte hain……

155. Chot khaakar bhi zakhm chupaya humne…. Zehar peekar bhi mooh na banaya humne…. Na jaane aaj tum itna kyon yaad aaye…. Ki naam likhkar baar baar mitaaya humne……

156. Kitni jaldi yeh mulaqat guzar jaati hain…. Pyas bhujhti nahin barsaat guzar jaate hain…. Apni yaadon se keh do is tarah na aaya kare…. Neend aati nahi aur raat guzar jaati hai……

157. Waqt ke is mod pe yeh kaisa waqt aaya hai…. Zakhm is dil ka zabaan pe aaya hai…. Nahin rote te hum kaanton ki chuban se…. aaj phoolon ki chuban ne humko rulaya hai……

158. Maine to ek dard bhara sher likh diya, Jasbaaton ko khule aangan main chod diya. Shayari to hamesha karte the... aaj kalam ke jariye unko kagaj par utaar diya

159. Shayar ko shayari ke liye kisi Mugal-e- Aazam ki zarurat nahi padti... Humne unka rasta kabka chod diya..us rah par ab nigahen nahi mudti....

160. Jaane kyon Duniya ruthi hai humse? Kya pata kya bhul ho gayi? is ruthne manane ke chakkar main aadhi umar beet gayi....

161. Kisi ki yaad mein rona fizul hai Aansoo bade anmol hai inhe bahana fizul hai, Roya to unke liye jo tum par nisar hain unke liya kya rona jinke aashiq hazaar hain

162. Apne hisse ki zindagi to hum ji chuke...Aab to bus dhadkano ka lihas kirtein hai...Kya kahen ye duniya walon ko jo... Aakhri saas par bhi aitraz kartein hai.

163. Dost dost nahin khuda hota hai, mehsoos tab hota hai jab na juda hota hai, bina dost ke jeena ek saza hai, aur dost tum jaise ho to jeevan ek maza hai.

164. Dillagi doston ke naam hoti hai, dildaari doston ki shaan hoti hai, kahi bhi raho par rahoge dil mein, ..mere yahi sachchi dosti ki pehchaan hoti hai.

165. Dosti bhi dil se shuru hoti hai……aur pyaar bhi dil se shuru hota hai……Magar jab dono khatm hone ko hon……Toh nuksaan sirf dil ka hi hota hai..

166. Duniya Se Jo Dare, Usey Kayar Kehte Hain, Duniya Jisse Dare, Usey Shayar Kehte Hain, Biwi Se Jo Dare, Usey Shohar Kehte Hain.

167. Aur bhi bahut si cheeze lut chu-ki hai dil ke saath, Ye bataya dosto ne ishq farmane ke baad Is liye kamray ki ek ek cheez doondta karta hoon main "Ek tere aane se pehle, ek tere jaa-ne ke baad"

168. Kaun Rakh ta hai Yaad Naamon Ko, Log Cheharon Ko Bhool Jaate hain, !! Tum Samunder Kee Baat Karti Ho… Log Ankhon Mein Doob Jaate Hain ..!! "

169. Dekh Lo Aawaaz De Kar.....Paas Apney Paoge!!.......Aoge Tanha Magar..!! Tanha Nahin Tum Jaoge.........!!!!! Dekha tha jise maine, Koi aur thaa shayad, Voh kaun hai jis se, teri surat nahin milti !!!

170. Kyun mere pyar ka tum imtehan lete ho… tum meri jaan ho kyun meri jaan lete ho… Tum pe hamein yakein hain, Maut pe aitbaar, Dekhte hain kaun pehle aata hain, Donon ka intezar !!

171. Unke ishq mein mar mitne ko betaab ye dil ho jaata hai……phir bhi aur hassinaon ko dekh dil baag baag ho jaata hai……Deikh kar tumko yakeen hota hai ,koi itna bhee haseen hota hai…..deikh pate hain kahan hum tumko ,dil kaheen hosh kaheen hota hai.

172. Dil ki awaaz ko izhaar kehte hain… jhuki nigah ko ikraar kehte hain… sirf pane ka naam nahin… kuch khone ko bhi pyar kehte hain…

173. Hum nazaron se door hai ankhon se nahin… hum qwabon se door hai khayalon se nahin… hum dil se door hai dhadkan se nahin… hum aapse door hai appki yaadon se nahin…
174. Har waqt muskurana fitrat hai hamari… Aap yuhin khush rahen hasrat hai hamari… Aapko hum yaad aayen ya na aayen… aapko yaad karna aadat hai hamari…
175. Yaadon se mann bharta nahin, mann se yaaden nikalti nahin… Yeh kaisi majboori hai, ke aapko yaad kiye bina chain milta nahin…

176. Guzare hue kal ki yaad aati hai… kuch lamhon se aankhen bhar aati hai… voh subah rangeen voh shaam niraali doob jaati hai… Jab teri yaad aati hai…

177. Tanha khud ko kabhi hone mat dena… apnon ko kabhi rone mat dena… aap bahut khaas hai hamare liye… is khayal ko apne se kabhi juda hone mat dena…

178. Zindagi udaas hone ka naam nahin… dosti sirf paas hone ka naam nahin… agar tum door rehkar bhi hame yaad kare… is se bada hamare liye koyi inaam nahin…

179. Dosti kabhi amaanat nahin hoti aur yeh kisi ki bhi mohutaj nahin hoti… hum se dosti zara sambhal ke karna… hamari dosti ki qaid me zamanat nahin hoti…

180. Sabko pyar dene ki aadat hai humein… apni alag pehchan banane ki aadat hai humein… kitna bhi gehra zakhm de koi… utna hi zyada muskuraane ki aadat hai humein……

181. Hamari toh dua hai koi gila nahin… voh gulab jo aaj tak khila nahin… Zindagi mein aapko voh sab mile…. Jo duniya mein aaj tak kisi ko mila nahin……

182. Kisiko mohabbat ki ruswaai ne maara… Kisiko mohabbat ki bewafai ne maara… Bach na saka koi mohabbat karke… jo bacha usey mohabbat ki tanhaii ne maara……
183. Jab is duniya mein jeene ki tamanna aayi toh mujhe teri yaada aaye… bas yahi dua hai rab se… baaki ka umar jo hai voh tere saath beethe jaaye……

184. Mujhe dard-e-ishq ka maza maloom hai… Dard-e-dil ki inteha maloom hai… Zindagi bhar muskuraane ki dua na dena… Mujhe pal bhar muskuraane ki saza maloom hai…
185. Zindagi zakhmon se bhari hai… Waqt ko marham banana seekh lo… haarna toh hai hi maut ke saamne… filhaal zindagi se jeetna seekh lo……

186. Logo ne sharab mehkhane ja ja kar pee hai… jo do pal mein utar jayegi… humne to pee hai apne mehboob ki aankho se… jo umar bhar naa utar payegi..….

187. Woh khud hi ho ruswa khudi maan jaye… Jo main rooth jaon to mujh ko manaye…
Mere paas aaye zara muskaraye… Jo main ro padoon to woh aansoo bahaye……

188. iss kadar chaha hai tujhe humne… tere siwa aur kuch ab nazar aata nahi… ek tere hi jalwe rehte hai ankhon mein… kuch aur meri nigaahon ko ab aata nahi……

189. saleeqa hi nahin shayad use mehsus karneka… jo kehta hai khuda hai toh nazar aana zaruri hai… jo dil mein hai usse ankho se kehlana zaruri hai… mohabbat na samajh hoti hai ... samjhana zaruri hai.

190. Hume Bhi Pyar Karne Ka Khayal Aaya… Jab Bhi Yeh Khayal Aya Khud Ko Akela Paya…

Doondte Rahe Is Duniya Main Humsafar… Kisi Ko Dhoke Baaz, Kisi Ko Bewafa Hi Paya.
191. pyar karnay ka koi saleeqa nahi hota! wafa nibhane ka koi tareeqa nahi hota!
pyar to woh hai jo ankhon say dil main utre! ehsas dilaye pyar ka koi kise, aisa nahi hota! jo raz-e-dil kehna ho kabhi sanam se! khat hi likha jaye, yeh zaruri nahi hota!

192. Meri deewangi ko galat na samajhna, maine chaha hai tumhe hadh se badhkar,
meri zindagi se kabhi dur na jaana, maine paya hai tumhe kismat ki lakeeron se ladhkar...

193. Aye Allah aaj yeh faisla kar de… Use mera ya mujhe uska kar de… Bahut dukh sahe hain maine zindagi mein… Koi khushi ab mera muqaddar kar de… Nahin naseeb main agar uska milna… Khatm karde ye zindagi, mujhe fana kar de !!!

194. Kaun kehta hai wo mujh se juda hai… Har pal woh meri palkon mein rehti hai… Meri har saans main khusboo hai uski Dil ki dhadkan bhi yehi kehti hai…

195. Ho sakta hai ki aaj unhe mere dosti ki zarurat nahi, par mujhe lagta hai ki usko dosti ka ehsaas tab hota hai, jab uski dost zindagi se bahut dur chala jata hai... aur beetein hue lamho ki kuch haseen yaadein chod jata hai.."

196. Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine, teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine, jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi, apne maathe ki woh tehreer mita li meine,

197. Chale bhi aao ki hum tumse pyar karte hain… Yeh woh gunah hai jo hum bar bar karte hain… Log maut tak hi dilbar ki raah takte hain, Hum hai ki kabar mein tera intezaar karte hain.

198. iss kadar chaha hai tujhe humney… tere siwa aur kuch ab nazar aata nahi… ik tere hi jalwe rehte hai ankhoon mein… kuch aur meri nigaahoon ko ab bhata nahi…

199. Nafraton ki kitab pad ke mohabbaton ka paigam likhna… Bahut mushkil hai khizaan ke maathe par dastan-e-ghulab likhna……

200. Sanaja sab the mere janaze ke peeche… bas ek voh hi nahin thi mere janaze ke peeche… aur hoga bhi kaise yaaron… kyonki mere janaza hi tha uske janaze ke peeche……

More Collections

• Kya kahun tumhe.. Dil kahun to toot jaogi, khwab kahun to bikhar jaogi, ji chahta hain ab main tumhara naam zindagi rakh doon, maut se pehle to mera saat chode na paayogi. ...

• Pooch is dil se kitne paigam likhta hoon… ishq mein guzri baatein tamam likhta hoon… pagal ho jaati voh kalam bhi jis se tera naam likhta hoon…

• Jab bhi yaad aati hain muskura leti hoon… kuch pal ke liye har gham bhula deta hoon… kaise bheeg sakte hain aapki palke… aapke hisse ki aansu toh main baha leta hoon…

• Ek ada aapki dil churane ki, ek ada aapki dil mein bas jane ki, ek chehra aapke chand sa, ek zid hamari chand pane ki.

• Milne Ki Khushi, Na Bichadne Ka Gham, Na Tanha Na Udhas Hai Hum, Kaise Kahen Kaise Hai Hum, Bas Yun Samajh Lo, Aap Ki Yaad me, Thode Akele hai Hum…

• Mohabbat kaho to ek lafz, Mano to bandagi, Socho to gahra sagar, Doobo to zindagi, Karo to aasan , Nibhao to mushkil, Bikhre to saara zamana, Simte to sirf tum. ...

• Baat aisi ho ke Jazbaat kam na ho… Khayalat aise ho ki Kabhi Gham na ho… Dil k Ek Kone me bas Itni si Jagah Rakhna… Woh Khali Khali lage, Jab Hum na ho

• Milne Ki Khushi, Na Bichadne Ka Gham, Na Tanha Na Udhas Hai Hum, Kaise Kahen Kaise Hai Hum, Bas Yuh Samajh Lo, Aap Ki Yaad me, Thode Akele hai Hum…

• Bheeg jati hain aankhen meri tanhai mein darr lagta hai wajah koi jaan na le darr to yun bhi lagta hai ki nigaho mein meri dekh kar aapko koi pehchaan na le

• Hasrat hain tumhe sirf pane ki… aur koi khwaish nahin is dewane ki… shikwa mujhe tumse nahin khuda se hain… kya zarurat thi tumhe banane ki…

• Yeh na hawa ka hota hain.. na fiza ka hota hain… na mousam ka hota hain… na koi sama hota hain… yeh waqt hain waqt ek dariya hota hain… yeh kabhi hamara hota hain… kabhi tumhara hota hain…

• Kash yeh zalim judai na hoti... rab tu ne yeh cheez banai na hoti... na hum unse milte na yeh pyar hota... zindagi jo apni thi parai na hoti...

• Dil ke darwaze par jo tere ishq ne dastak di thi… ghamon ke andhere ek shama roshan ki thi… aye khuda shukriya kaise ada karoon tera lafzon mein… pyar uska de diya jise zindagi mein kami thi

• Pyar voh hain jo mehsoos ho hi jaayega… ek na ek din mukaam mil hi jaayega…karo intezar ek din aisa bhi aayega… khushiyon bhara e duniya nazar aayega…

• Chot khaayi hain itni hum ne dil par… dil ke zakhm aankhon se behte hain… kabhi aake toh dekh dushman e jaan… tere bin kitne tanha hum rehte hain…

• Maana hum haalaat se majboor rehte hain… phir bhi tere khayalon mein choor rehte hain… aankhon mein rehti hain tasveer tumhari… kya hua jo hum door rehte hain…

• Mera dil ka Dard kisne dekha hain… Hume bas khuda ne hi tadapte dekha hain… hum tanhai mein baith kar rote hain… par logon ne hume mehfil me aksar haste dekha hain…

• Jisne hum ko chaha… use hum chah na sake… jisko chaha use hum pa na sake… yeh samajh lo dil toot ne ka khel hain… kisi ka toda aur apna bacha na sake…

• Yaad kar ke Mujhe Taqleef to Hoti Hogi... Ek Qissa Hoon Puraana sa Bhula De Mujh ko... Dubte Dubte Awaaz teri soon jaaoon... Aakhri Baar Tu Saahil se Sada De Mujh ko

• Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehle, Meri sun lo apni sunaane se pehle, Ye soch lena bhulane se pehle, Bahut royi hain ye aankhen muskurane se pehle!

• Tanhai hain pyar mein aur bebasi bhi hain… aansu hain pyar mein aur bekabar bhi hain… haar hain pyar mein aur jeet bhi… hum ko sab pata hain magar kya kare hum bhi hain pyar mein…

• Fareb thi hasi unki hum toh ishq samajh baite… maut ko apni zindagi samajh baite… waqt ka mazaq tha ya badnaseebi meri… unki do baaton chahat samajh baite...

• Bahut door hain hamare ghar se tumhare ghar ka kinara… magar hum hawa ke har jhonke se pooch lete hain kya haal hain tumhara…

• Hazar bewafai qubul hain ek wafa ke liye… hazar aansu qubul hain ek hasi ke liye… hum ko naaz hain aapki dosti pe… hazar dushman qubul hain aap jaise ek dost ke liye…

• Bhikta hain gham husn ke bazaar mein… lakhon dard chipe hote hain ek chote se inkaar mein… ho jao agar zamane se dukhi toh… swagat hain is dost ke darbar mein…

• Log poochte hain sharaab kyon peete ho… kya yeh pyas bhujati hain… Maine kaha nahin dil mein kisi ki tasveer hain kambhakt kam se kam usko toh jalati hain…

• Har pal pe aapka hi naam hoga… aapke har kadam par duniya ka salam hoga… mushkilon ka saamna himmat se karna… dekhna ek din waqt bhi aapka ghulam hoga…

• Baat aisi ho ke jazbaat kam na ho… khayalat aisi ho ki kabhi gham na ho… dil ke ek kone mein bas itni jagah rakhna… voh khaali khaali lage… jab hum na ho…

• Muskan tere hoton pe toh khushi mere dil mein hoti hain… agar dard tere dil ko toh aankhen meri roti hain… tu mehsus karke dekh dost dosti aisi hoti hain…

• Betaab tamannaon ke kasak rahne do, Manzil ko pane ki lalak rahne do, Aap bhale raho nazaron se door, Par meri band aankhon me aapki ek jhalak rahne do..."

• Judai bhi ek ajeeb nasha deti hain… jo door ho zamane mein… unhe neendon mein mila deti hain…

• Is kadar mein har yaaron se poocha, Jo baat raaz ki ho isharon se poocho! Lehron se khelna toh samundar ka shauk hain, Lagti hain chhot kaisi, kinaron se poocho…

• Kuch nasha to aapki baat ka hain, kuch nasha to dheemi barsaat ka hain, Hume aap yun hi sharaabi na kahiye, is dil par asar to aap se mulaqat ka hain…

• Saanson teri main, main aaj simat jaaun… Na roke koi main aaj behek jaaun… khata hui hain toh maafi bhi maangni hogi… teri is sadagi par, phir main kyon na mar jaaun…
• Angan tere khayal ka hi mehka jaata hain… baton teri par vishvas aata hain… intezar hain in akhiyon ka teri… dekhen ab kab baraat lekar aata hain…

• Aankhon se jo baat kar jaate ho… unhe ek bar lafz ki shakal toh do… dil mein ehsaas hain toh khol ke rakh do… yun parindon ko qaid e saza na do…

• Subah aur sham ek hi naam rehta hain… dil mein sirf tera khayal rehta hain… jab bhi aata hain waqt tujhse juda hone ka… duniya ko aag lagane ko dil karta hain…

• Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi, kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi, Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya, lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,

• Apna bana kar kahin bhi le chal… main hoon saat tere… sapnon ko sach kar chal… saat tera hain toh duniya ka koi parwah nahin… mera aaj bhi tu hain… tu hain mera kal…

• Mera dil ke aangan mein voh mukam hai tumhara… ke khuda ke baad ab lab par naam hain tumhara… le jaoonga bana ke dulhan tujhe ghar apne doli mein… bas chahiye teri ek pyar bhari nazar ka ishara…

• Kaanton mein rehkar bhi hum zindagi jee lete hain… har zakhmon ko apne haathon se si lete hain.. Jis haath ko keh diya dost ka haath… us haath se zeher bhi pee lete hain…

• Yeh din yun hi guzar jayenge… shayad hum dost bichad jayenge… naraaz na ho aap hamari shararaton se… yehi toh voh pal aksar yaad aayenge…

• Ek din jab hum duniya se chale jayenge… mat sochna aapko bhool jayenge… bas ek bar aasmaan ke taraf dekhna… hum sitaron par dikhe nazar aayenge…

• Zindagi Jeene Ka Maza, Kitaab Me Kaha? Pyar Ki Khushboo, Kisi Gulaab Me Kaha? Nasha Jo Karna Hota To Peete Hum Sharab, Magar Judai Ka Nasha, Sharab Me KahaN

• Pyar mohabbat toh sabhi karte hain… pyar ke dhoke mein sabhi jalte hain… hum na pyar na mohabbat karte hain… bas aap jaise yaaron ke yaari pe marte hain..

• Dard aur gham se aap anjaan rahe… khushiyon se aapki pehchaan rahe… meri dil ke yeh dua hain… aapki chehra pre hamesha muskurahat rahe…

• Hamari sapnon ke aap sahil hue… najane kaise hum aapke dosti ke kabil hue… karzdar rahenge hum us haseen pal ke… jab aap hamari choti si duniya mein shamil hue…

• Jab tum paida hue tab tum ro rahe the aur yeh jahan muskura rahi thi… ab zindagi kuch aisa jiyo ke jab tum mar jaoge toh tere chehre pe muskan rahe aur yeh jahan roye…

• Dil ki kitaab ka panna chura le gaya koi… aankhon se neend uda le gaya koi… kisi ki yaad mein tadapne ki aadat nahin thi hume… apni yaadon se tadapna sikha gaya koi…

• Yeh waqt ki gardish aise hain… yeh na jeene de na marne de… in gehre rishte zakhmon ko na yeh seene de na bhar na de…

• Ek sapna bhi ek haqiqat bhi ho tum… meri zindagi ka pehle mohabbat ho tum… tum bin na guzarega mera ek lamha bhi… meri har khushi meri jannat ho tum…

• Bahanon ki kya parwah kare… tumhe toh hum dil mein basaya karte hain… koi dekh na le tumhe mere seene mein… is darr se hum khoya rehte hain…

• Hum tadapte hain unki yaad mein… dil rota hain unki fariyaad mein… aye khuda mila de humko hamesha ke liye… kahin dum na nikal jaaye intezar mein…

• Khushi ke liye gham qurbaan… hasi ke liye aansu qurbaan… aur pyar ke liye dil qurbaan… par yeh mere dost tere liye mere jaan bhi qurbaan…

• Aap ke hoton par sada khilte ghulab rahe…khuda na kare aap kabhi udas rahe… hum aap ke paas rahe ya na rahe… aap jinhe chahe voh sada aap ke paas rahe…

• Chote se dil ke afsaane bahut hain… zindagi se zyada zakhm bahut hain… maar daal thi kab ki yeh duniya… kambakht doston ki duaon mein asar bahut hain…

• Woh chand hai magar aap se pyara to nahi, Parwane ka shamaa ke bin guzara to nahi... Mere dil ne suni hai mitthi si awaaz kahi, Aap ne hume pukara to nahi....

• Tufan me kashti ko kinare bhi milte hai, jahan me logo ko sahare bhi milte hai. Duniya me sab se pyari hai zindagi, par kuch log zindagi se pyare bhi milte hai

• Dil ke zakhmo ko unse chupana pada, aankh taar hi magar muskurana pada, kaise ulte mohabbat ke hai silsile, ruthna chahtey thae, par manana pada!

• Aarzoo tum ho aur zindagi bhi… mohabbat ho meri aur dil ki dhadkan… khayal ho aur har khwaish sirf tum… nazaakat aisi phoolon ki pankhuri tum ho…

• Jab chand taaron ki baraat layega… mera dil bhi kuch gungunayega… nazaren tumhe dhoondegi chand mein… tumhe bhi chand mein kuch nazar aayega…

• Bahanon ki kya parwah kare… tumhe toh hum dil mein basaya karte hain… koi dekh na le tumhe mere seene mein… is darr se khoya rehte hain…

• Nigahen mila kar dil ko kiya zakhmi… adaye dikha kar sitam dha rahe ho… wafaon ka kya khoob badla diya… tadapta hue chod kar jaa rahe ho…

• Zindagi hain nadaan isliye chup hoon… Dard hi dard subah sham isliye chup hoon… keh doon zamane se dastan apni… usme aayega tera naam isliye chup hoon…

• Hoton pe hasi par aankhen nam rehti hain… koi jaan na le muskuraya karte hain… juda hokar bhi hume mohabbat ka ehsas hain… isliye unko khuda khud ko bewafa kehte hain…

• Ishq cheez hai aisi… jiske hone par sehna padta hain gham… par isko azmaaye bina… adhoore reh jaate hain hum…

• Phool shabnam mein doob jaate hain… zakhm marham mein doob jaate hain… jab koi aasra na mila… hum tere gham mein doob jaate hain…

• Dikhate hain sab door se rasta… koi do kadam saat chalta nahin… jalati hain duniya toh jalta hain dil… koi apni marzi se jalta nahin…

• Mitti meri kabar se chura raha hain koi… markar bhi bahut yaad aa rahi hain koi… aye khuda ek pal ke zindagi aur de de mujhe… udaas meri kabar se jaa rahi hain koi…

• Khamosh raat ki pehlu mein sitare nahin hote… in rukhi aankhon mein rangeen nazare na hote… hum bhi na karte parwah… agar aap itne pyare na hote…

• Husnwalon ko kya kadar hain pyar ki… voh toh baaten karte hain apni zarurat ki… har chahne walon ko voh tol te hain daulat ke tarazu mein… unhe kya kabar hain ki koi keemat nahin hoti chahat ki…

• Usne jo mera saat na diya… shayad uski bhi majboori hogi… bewafa toh voh ho hi nahin sakti… shayad meri hi mohabbat adhoori hogi…

• Har phool ki ajab kahani hain… chup rehna bhi pyar ki nishani hain… kahi koi zakhm nahin phir bhi aisa lagta hain ke… dil ke ek tukda aaj bhi uske paas hain…

• Dekhte dekhte haathon se nikal jayenge… hum bhi suraj ki tarah sham ko dhal jayenge… itne awaaz ke paththar na uchalo yaaron… hum toh ehsas ki garmi se pighal jayenge…

• Ek teri sadagi uspe yeh bholapan tera… aankhen teri hain darpan mera… baahen teri madhuban mera… kyon na ho dil dewana tera…

• Tumhare husn mein itni saadgi hain… toh tumhara singaar kaise hoga… tumhare narazgi mein jab itna pyar hain… toh tumhara pyar kaise hoga…

• Kya umr paya hain shama ne… jala khud aur roshni paya jahan ne… hote hain jo fanaa iske upar parwane… voh khud jale aur aah bhi na kar pane…

• Raat din bewafa jis shaks ko hum kehte hain, Wo mere dil ke kahin aas paas rehte hain. Muddate ho chali humko unse bichre hue, Aankh se ashk magar aaj bhi behte hain.

• Sham suraj ko dhalna sikhati hain… shama parwane ko jalna sikhati hain… girnewale ko hoti toh hain taqleef… par thokar insaan ko chalna sikhati hain…

• Aasaani se dil lagaya jate hain… magar mushkil se vaade nibhaye jate hain… mohabbat le aati hain un rahon par… jahan diye ke badle main dil jalaya jate hain…

• Jo keh na sake voh fasana yaad aata hain… guzra hua dilkash zamana yaad aata hain… jab husn se ishq takraya tha kabhi… ghayal hua tha ek parwana yaad aata hain…

• Zuban se keh nahin sakte… khuda se fariyad karte hain… jab tumhara dil zor se dhadke… toh samajh lena hum tumhe yaad kiya karte hain…

• Dost mil jate hain kahani ban kar… dil mein bas jate hain nishani ban kar… jinhe hum rakhte hain apni aankhon mein… kyon nikal jate voh paani ban kar…

• Baahar phoolon par shabnam ki nami hain… in sadkon par baraf bhi jami hain… mausam bhi hain… manzar bhi hain… main bhi hoon… bas teri hi kami hain…

• Dhadkane sun’ne lagi dil ki zuban… ab kise hosh yeh sab le jaye kahan… ehsas tere hone sukun diye jata hain… bhatakti hui rooh ko khamosh kiye jata hain…

• Karta hoon jab jab deedar yaar ka apne… toh voh khuda bhi jalta hain… rukh jaati hain hawaye us waqt murda bhi saanse bharta hain…

• Zindagi kisi ki mohutaj nahin hoti…dosti sirf jazbaat nahin hoti… kuch toh khayal aaya hoga khuda ko… warna hamari aap se yunhi mulaqat nahin hoti…

• Sapne tut jate hain… apne ruth jate hain… zindagi main aksar aisa mod aate hain… magar jab saat ho tum jaisa humsafar toh… rahon ke kante bhi phool ban jate hain…

• Teri ek muskan saza deti hain mujhko… tere hone ka ehsas saza deti hain mujhko… dekh kar jab mujhe tum kuch nahin kehti… voh tere dekhne ka andaaz saza deti hain mujhko…

• Yun hi gir raha hain chalak chalak kar… aye husnwalo jaam tumhari jawani ka… pilakar ek pyali sirf apni nazaron se… kyon nahin uda deti hosh apne dewaanon ka…

• Maine ek pal ki khwaish rakhi… tum ne zamana mera naam kar diya… chala tha ek phool lene mein… tum ne gulistan mere angan mein khila diya…

• Mujhe apne dil ki nigahon se dekho… lipat kar zara meri baahon mein dekho… jannat ki seir karni hai agar… zara meri aankhon mein dekho…

• Shama ki roshni se andhera door hota hain… is duniya mein har koi majboor hota hain… jo aankhon se jitna bhi door ho… voh dil ke utna hi qareeb hote hain…

• Zindagi ne bahut kuch sikha diya… kuch sikha humne pyar mein… aadi zindagi ro kar kat gayi… aadi kat jayegi intezar mein…

• Kisi se hume khauff nahi, apne he saaye darate hain, ankhein kholun to veerane hain, aur band aankhon mein wo nazar aate hain…

• Kash Khushiyon ki koi Dukaan hoti, Hame bhi uski koi pehchaan hoti, Bhar dete apke Aanchal ko khushiyo se, Keemat uski chahe hamari jaan hoti…

• Nazaron se nazaron ka milan hua nahi kabhi, shikwa bhi zuban pe mere aaya nahi kabhi… chehra laal ho gaya unka, hote hi saamna, maine to haal-e-dil apna sunaya hi nahi abhi…

• Hum tumse hain, tum humse ho; E-humraaz yeh baat khub tum samjhe ho; Zindagi, dhadkan sabh kuch sirf tum ho; Shayari ho, khushi ho, e-sanam ek nasha tum ho...

• Dil mein jaga nahi, Toh aankhon mein basa lo, Janam jhutha hi sahi, Pyaar humpe jata lo, Waqt na ho agar, Duniyaan se utha lo!!!

• Mila kar nazren phir jhuka lena, sanam samajh humari aata nahi... gar sharmaye na takrane ke baad, jano tumhen humse mohabbat nahin.

• Adaon se apni, mahabbat-e-bayaan karti ho… phir sar-e-bazar hum par yeh ilzaam karti ho… sahali ko choom kar, dil mera dhadka diya… yeh kis tarah sanam, pyar ka ikraar karti ho.

• Hum ko koi aazma ke dekh le… do pal ke liye apna bana ke dekh le… fir na thamenge kabhi jaam-e-sharaab… aankhon–aankhon se pila ke dekh le…

• Dil mera deta hai gawahi meri, dil jo deta raha duhai teri, Rab dur rahene ki aisi saza na de, Teri judai se pahele mujhe maut de…

• Milna kis kaam ka gar dil na mile, kya lutf safar ka jo manzil na mile.... bahate dariya me doob jana acha hai, ki itne kareeb aakar bhi mehboob na mile...

• Saaye ki baat karte ho, yahan to kismat ne daga kiya hai, jiski mohabbat mein badnaam huye, ussi ne hume bhula diya hai....

• Kya kahene jalwe husn ke, Muskurana woh zukake palke, Us per yeh sadagi, hay touba, Dil kya jaan hai inke sadake!

• Kaise jeeyega yeh deewana, Maksad hai ab ek didar pana, Chand se chahere kar be-parda, Dekh ek jhalak, ho jaye fana…

• Dekha hai ek hasin khwab, woh kah gaye chup ke se adaab, kya haal hai dil ka kya kahen, Intazaar hai kab de hum iska jawab…

• Bekhabar benam rahete magar, Teri mahobaat ne badnaam kar diya, Naam-e-mahobaat lete subah shaam magar, Tere ishq ne nakaam kar diya!

• Kuch is tarah chua hai husn ne, ki sare gul daman me aane ko taraste hain, tasveer se teri dil bahalta nahi sanam, yaad karke tujhe, din-raat sulagte hain.

• Hum aapki mohabbat ka aitbar karte hai, aapki har baat pe jaan nisaar karte hai, aapko kyu lagta hai ki nahi hai hamare dil me kuch, hum bhi har mehfil me aapka hi intezar karte hai.

• Khwahishen adhoori ho to, zindagi anjani lagti hai, har ada hai uski kuch khaas, uski har muskurahat badi suhani lagti hai.

• Ishqwalon se poocho unki raat ka alam, ki unke dil ki dard-e-haalat kya hoti hai, samne se to wo khush dikhte hain magar, dil ke har kone me, qayamat chupi hoti hai.

• Har dil mein dard ho ye zaruri to nahi, hansna har kisi ki majburi to nahi, hum bhale hi pyar mein nakaam ho, pur humari khwahish adhuri to nahi.

• Aap hum se aise na sawaal puchiye, pyar ko yun ruswa na sare - aam kijiye, aapki pukaar ko is dil ne suna hai, teri is aarzu mein mera bhi iqarar basa hai.

• Mohabbat ke safar mein tumhe apna dil dia hai, uske badle thora sa pyar manga hai, apne bhare mein kuch sawal kiye hain, unke badle sirf jawab manga hai.

• Mohabbat me hum, kai fasane bana dete, jaan apni sanam, aapke naam kar dete, ek aap hai ki mohabbat-e-izhar karte nahi, warna shahar me humare hum TAJ MAHAL bana dete....

• Aashiq hu, aashiqi karunga; E-sanam mohabbat ka geet roz gata rahunga; Ehsas e mohabbat dilata rahunga; Is mehfil mein dildaar ban, tujhse ishq karta rahunga

• Dil chahta hai ki itna piyun, na aaun phir kabhi hosh me, zamane ko maar doon thokar, gar tum raho mere aagosh me.

• Yeh kaise umeed se aati hai shaam ke baad, tera naam bhi aata hai, mere naam ke baad, isi ko salaam-e-ishq kehte hai mere sanam, tumne nazren jhuka li, mere salaam ke baad.

• Mohabbat Ki Keemat Ada Hum Karenge, Jafaen Karo Tum Wafa Hum Karenge, Dua Jab Ke Dete Hain Hum Dushmano Ko, Kyun Tumhare Liye Baddua Hum Karenge.

• Bheeg jane de Aanchal ko apne... Aaj ise sirr se sarak jaane de... Aane de kareeb mujhe apne... Aur justju me kuch shararat karne de...

• Insaan ke kandhe pe… insaan jaa raha hain… kafan mein lipta… kuch armaan jaa raha hain… jinhe na mili ho mohabbat, is duniya mein, use pane voh kabrastan jaa raha hain…

• Kisi ke liye mere hoton pe muskurahat hai, Kisi ke liye mere dil mein armano ka samundar hai, par koi mujhse kyon khafa hai, Kisi ka dil mere liye kyon banjar hai.

• Kisi ki wafa mohabbat se badi hoti hai, ye wo cheez nahi jo raah mein padi hoti hai, pyar mein to insaan dhoka kha leta hai, par wafa hamesha sar uthaye khadi hoti hai.

• Wo jo ishq tha wo janoon tha, yeh jo hijr hain yeh naseeb hain, kise kahu yahan mere saat chal, yahan sabke sar pe saleeb hain.

• Izhar na kar ise mehsus toh kar, mehboob se nahi pyar se pyar kar, do pal jeele auron ko jeena bhi sikha, chahat se duniya aabaad toh kar.

• Aankhon ne na kiya woh deedar tera, phir bhi dil main basa liya aitbar tera, Kat’ti hain ab shamaen bus yun hi, In Nigahon ko bus ab intezaar tera.

• Halat ke kadmon par qalandar nahi girta, tute bhi sitare to zamin par nahi girta, girte hai bade shauk se dariya samundar mein, magar kisi dariya mein samunder nahin girta.

• Bhale hi badnaam ho shayari mein, pur yahi to kisi ki mohabbat hai, aaj bhi bhatak rahe hai shaharon mein, yahi ab humari kismat hai.

• Kash ye dua sun le aye khuda, ki hum par bhi inayat ho jaye, jo muh phere khade hain humse, unhe bhi humse mohabbat ho jaaye.

• Teri ghazalon mein apna naam pad kar, hum bhi tere deewane hue, charcha hoti hain mehefil-e-duniya mein, jane yeh kaise pyar se fasane hue!

• Saari duniya ka hum kya karein, hume to intzaar apni mohabbat ka hai, hum aaj bhi intzaar mein mubtilaa hain, hume to intzaar apni kismat ka hai...

• Mohabbat se bhi bada, ehsas hai woh, har pal mere dil ke, pass hai woh, toda hai jabse us zalim ne is dil ko, mere liye khuda se bhi, khaas hai woh.

• Sharm se gaal yun ho jate hai laal laal hamare, phir bhi woh hume tang kiya karte hai, haya ka parda nahin utar sakhte kabhi, par chup chup ke unke liye aahen bharte hai.

• Zindagi ki kitaab ke kuch panne khali the, uspe humne mohabbat likh diya hai, khud ki halat bayan kiya karte the kabhi is kitaab me, ab to har panne pe uska naam likh diya hai.

• Aankhon ke teer ke vaar se nahi, hum ko toh uski gehrai ne maar dala, hoton ki pyar bhari muskurahat nahi, uski shararat ki adaa ne maar daala.

• Tera dewana hoon, inkaar nahi, Kaise keh doon kay tujhpe etbar nahi, Kuch shararat teri baaton ki bhi hai, Main tanha to gunehgaar nahi

• Deedar-e-yaar ki chahat me jal jaate ho, tum apne parwano ki dewangi ki aag me jal jate ho, kya karoge kos ke apni is taqdeer ko, ke bin jalai yaadon ki aag me jal jaate ho.

• Chodkar chale jaye bhi to kaise, nazron ko yun hataye bhi to kaise, dil ke haathon majboor hain hum, beqarar ke alam me aap hi nahi, yun to hum bhi hain sanam.

• Dewane to bane baithe hai aapke adaon se, Darr nahi ab jamane ke nighaon se, Duniya kahan samajhti hai pyar ki bhasha, Unhe to bus shikwa hai dewanon se.

• Mohabbat har kisi ko mil jaye, aise kismat nahi payi hain, beithe hain mehfil-e-ronak mein, par dil mein sirf tanhai hain.

• Jab paa le koi apni mohabbat ko, toh wahan woh zindagi kehlati hain, jab ruswa ho jaye koi aapse, toh ye zindagi bandagi ban jati hain.

• Jab dard hadh se badh jaye, toh ashqon ko saza milti hain, isme ashqon ka kya kasoor hain, unhe to ye saza be-wajah milti hain.

• Tere saat rote haste hain, Kahin par bhi rahe lagta hain, Jaise saat rehte hain, Jo doori ka kabhi ehsas hone hi nahin deta, meri nazron se dekho toh, Isi ko pyar kehte hain.

• Ye sookhi ek Nadi si hai, Kahan koi ravani hai? Ibarat woh hai ke jiska, Nahin koi bhi mani hai, Main kehna chahta jo baat, Bilkul saaf hai janam, Tumhare bin gujarti jo, Woh koi zindgani hain.

• Zindagi dar ba dar jaise guzri ho, Kabhi is dar se kabhi us dar se guzri ho, Is gumaan mein hai ab guzar jaane ke baad, Shayad tere dar se bhi ye guzri ho.

• Hont khamosh dil gumsum hain, aakhein aaj na jane nam kyon hain, jo apna kabhi tha hi nahi, use khone ka gum kyon hain?

• Pyar yun toh jhukta nahi, par toot jaya karta hain, kabhi-kabhi manane par bhi, root jaya karta hain.

• Kabhi tujhse bichad kar, ashqon ke jaam piya karte the, aaj sochte hain hum tere bagair, aakhir kaise jiya karte the.

• Anjani se ek chah hai, maano basti koi tasveer in aankhon mein, manzil ko pane ka junoon hai, maano teri mohabbat ki tarasgi hai in aankhon mein.

• Ek khaali ghar, Ek soona sa aangan, Ek ped ki sooni shaakhen, Sannaton ki deewar, Siskiyon ki chath, Ye mere dil ka alam hai, Jahab bas ruki ruki si aahen hain!

• Bas kar dil mein rooh mein sama gayi. Woh ek hasina mujhe rula gayi. Ab toh lag bhi dekhte hai taras khayi nazaro se. Pagli thi lekin mujhe pagal bana gayi.

• Bahut door magar paas rehte ho, aankhon se door sahi, magar dil ke paas rehte ho, mujhe bas itna pata hain ke, tum bhi mere bin udaas rehte ho.

• Fursat kise hai zakhm sehlane ki, Nigahen badal gayi apne begane ki, Humsafar bhi saat chod gaya mera, Ab tamanna na rahi aashiyan banane ki.

• Jal gayi main, machal gayi main, tere is deedar mein O mere sajan, le mujhe apne kareeb, laga seene se, khone de hosh mujhe, hone de mujhe magan

• Guzar ke teri raahon se, Jism mera mehekne laga hai, Pyar na pa sake tera, Phir bhi Zindagi se koi Gila nahi, Dil hai mere chain, Kya hua jo mili Dosti teri Pyar mila nahi.

• Nikle Jab Ashq Aankhon Se, Ek Baat Mere Dil Mein Uthi, Ke Ye Behte Hain Kisi Ki Hamdardi Pane ke Liye, Ya Phir Kisi Se Chot Khane Ke Liye.

• Roshni ke liye diye jalte hain, shama ho toh parwane jalte hain, rishte na ho toh dil jalta hain, rishta aapse ho toh zamana jalta hain.

• Fariyad unhe pane ki nahin, Sirf unke deedar ki karte hain, Pukarke Wadion mein naam unka, Hum bhi Fizaon darbadar ghoomte hain.

• Kitna tadapta hoon me kya bataoon, Karta hai aksar Pyar tera mera Dard kam, Karlo tum mujhse bhi Pyar, Kya banogi tum meri Sanam.

• Aankhon ke tasavvur mein aitbar unka hai, hoton per jafa-e-gham se inkaar unka hai, jod rahe hai naam apna woh kisi aur se, per mere naam ko aaj bhi intezar unka hai.

• Aankhon hi aankhon me sab kuch le jane ki, Kya shauk ada hai uski dil churane ki, Uski chahat par ab mar-mite hai hum to, Aarzoo hai hume use apna banane ki.

• Nazar mein khwab ki tabeer hai, humare liye woh aasmaa manzil hai, banayenge ek rasta wahan tak, saat agar tum do ban jayenge khwab haqiqat.

• Mohabbat humare liye azeem hai pur, misaalon se hume koi sarokar nahi, iss pyar mein har koi jeeta-marta hai, kyonki ye pyar hai koi karobar nahi.

• Peete Waqt Paimaane Mein Teri Tasweer Nazar Aayi, Ye Meri Chahat Ki Hadd Thi Ya Teri Judaai Ka Asar Tha.

• Kabhi ek boond ko tarasta hai aur kabhi boondon mei garajta hai aadmi, kuch bhi mumkin hai is zindagi mei, kabhi kabhi bin boondon ke bhi, duniya se chala jata hai aadmi.

• Zindagi Se Pyar Na Raha Mujhe, Dard-e-Maut Ko Dekhne Ke Baad, Zindagi To Pal Do Pal Ke Liye saath Nibhaati hai, Maut To Tanha Hai Tanha Hi Lekar Jaati hai

• Kisi ko yaad karna kisi ko yaad aana naseeb mein hota hain, dil unhi ko yaad karta hain jo dil ke bahut qareeb hota hain.

• Kash is dil ki hasrat puri ho jaye, jawan is dil ko koi hoor mil jaye, is dil mein mere, koi toh reh jaye, pyar karoon sirf usse, bas mohabbat ho jaye…

• Mohabbat bhi kar liye, dillagi bhi hua, aankhon se nasha kar liye, madhosh bhi hua, tasvvur mein unke bhi liye, shayar bhi hua, use aazma bhi liye, khuda mere de mujhe, pyar ki dua.

• Voh din din nahin, voh raat raat nahin, voh pal pal nahin, jis pal teri baat nahin, teri dosti se maut hume alag kar sake, maut ki bhi yeh aukat nahin.

• Jeena Dard mein bhi aur IShq mein bhi hain, Samajh lo ise bas baat DIL ki hain, Gamgeen qwab ho jiske pehle hi, Uski mahobbat bhi hoti rangeen hain.

• Chahta hoon tujhe har pal, Par tu yakeen mera na kar payegi, Zinda hoon main Jab talak, Nafrat mein yeh Dunia jal jayegi

• Mujhse juda hokar bhi, meri pehchan bana baitha hain, ek woh shaks, jo kabhi mera hua hi nahin, woh meri zameen aur asmaan bana baitha hain

• Ek soch hain aur tu hain, ek suroor hain aur tu hain, mera naseeb hain aur tu hain, Tera khuda hain, mera khuda bas ek tu hain.

• Muskurate palko pe sanam aate hain, Aap kya jane kahan se hamare gham aate hain, Aaj bhi us mod pe khade hain jahan, Kisi ne kaha tha tehro hum aate hain.

• Murjha gaye phool par bahaar wahi hai, Door hai aapse magar pyar wahi hai, Jaante hai hum aapse mil nahi sakte, Magar in aankhon mein aaj bhi intezar wahi hai

• Apna dil apni tabahi ka sabak hota hai, Yeh jawani ka zamana bhi ajeeb hota hai, Kaun si baat ne kisika dil tod diya, Bolnewalo ko ehsas bhi kab hota hai

• Jaan di kiske liye, yeh bataye kisko, kaun kya bhool gaya yeh bataye kisko, ruth jate to manana dushwar na tha hume, wo rishta bhi na rakhen to manaye kisko

• Tamannaon mein ulajhte rahe, pur pyar ka sahil na mila, bahot aaye raah mein, pur uski tarah koi kabil na mila

• Na ghabrao iss tarah ki, ghabra ke manzil kahan milta hai, dubte reh jaate hain lahron mein, chah kar bhi sahil kahan milta hai.

• Har gham mera, meri hasi mein mubtilah hai, aaj bhi yaad kar ke rote hain, kya ye kam pyar ki saza hain.

• Hum mein itni himmat nahi, ki har gum mein muskura lein, har dard ko seene mein chuppa lenge, iss baat ki hum kasam kha lein.

• Har guzarta waqt ik imtehan leta hai, har guzarta waqt hamari jaan leta hai, uske ilzaam ko hum seh na payenge, jab wo zamane mein hume bewafa kehta hai.

• Nazaron se chahat ko pehchana hai, is liye toh dil ne dil ko chaha hai, Gar hoti bulandi pe jo kismat hamari, yaqinan sitare bhi kehte ye dil hamara hai

• Kabhi Unki aahat hi kafi thi, Ulfat ke liye, Aaj unke saaye Ko bhi taraste hain, Kabhi maanga tha duaon mein unhe, Aaj qwabon ko bhi taraste hain.

• Kisi ke pyar mein shiddat nahi thi, jo saath rahe wo mohaabat nahi thi, jis se jeeta jaata hai dil, hoton pe aisi muskurahat nahi thi

• Hume kya Maloom Tha, Yeh muskurahat hi Meri Dushman hai, Varna Hum toh Muskurate hi nahi Kabhi, Aapki ki Muskurahat ke Liye.

• Fana ho gaye kisi ke pyar mein, palkein bichayee kisi ke intezar mein, par koi humse wafa na kar saka, hum khud ko dhoka dete rahe kisi ke aitbar mein

• Humne jis se pyar nibhayi thi, woh apni nahi parayii thi, hum lout’te rahe apne kafan mein, jab se suni uski shehnayi thi

• Parwano ka anjaam se nahi hai wasta, jalna shama pe aaj muqadder samajh liya, na bhaago apne saayon se aye mere humdam, inhi se toh hamne apna muqaddar bana liya

• Lo rukhsad ho chale is jahan se, usko apna har hisaab dekar, Woh khada hai hamare janaze par, muskurate hue do gulaab lekar.

• Na ab pyar ke koi maayene hain, aur na he na hamsafar ki talaash hai, jisse chaha hamsafar dekhna, ussi ke haathon mein mere wafa ki laash hai

• Ghamon ki aandhi hai yahan par, main dhoond rahi hoon mohabbat ka savera, kash un aankhon ki mohabbat mil jaye, jisme hai hamari khushiyon ka basera

• Kabhi hum un ka chehra khayalon mein tassuvar jo kiya karte hain, kabhi gulab, kabhi mahtab, kabhi pehli kiran e aftab, kaha karte hain.

• Jab jab tu payal chankati hai...Tasveer teri Zehem me utar aati hai, Sochta hoob jab choo loon tujhe banke hawa tu beh jaati hai

• Is kadr har raat par khumar chaya hai, har khumar par bas pyaar chaya hai, lagi hai gale jab se sanam meri, mujhe jindagi par aitbar aya hai

• Agar phool mere paas hai, to kanto par mujhe aitbaar hai, mere dil ki dhadkan kah rahi hai, sanam tumko mujhse pyar hai

• Aawaz payal ki nahi hai, to kya hua, kisi ki saanson ki chhuan, to mere saat hai, tanhai kisko kehte hain, mujhe nahi pata, kya jane kis haseena ki dua mere saat hai.

COLLECTIONS OF SHAYARI'S

Manzil ko pane ke liye saahil ko paar karna padta hai,
mohabbat karne ke liye dil-o-jaan qurbaan karna padta hai.

Kaun apni mohobat fanaa karega…
sabhi nek ban gaye to gunah kaun karega…
aye khudha sanam bewaafa ko bachaye rakhna…
warna humare maut ki dua kaun karega...

Har acchi cheez ka bura jawab nahi hota…
har husna lajawab nahi hota…
nazar to nazaro se milti hai…
par har nazar ka matlab pyar nahi hota……

Bohat Door Jane Ko Jee Chahta Hai…
Unhe Azmaane Ko Jee Chahta Hai…
Humhe Unse Koi Shikayat Nahin Hai…
Yun hi Rote Jane Ko Jee Chahta Hai……

Gar Thukra Diya Tune Mere Pyaar Ko…
Kafan Se Dosti Kar Lenge Sanam…
Saja Phoolon Se Apni Arthi Ko…
Teri Doli Ke Paas Se Guzrenge Hum……

Umr Ki Raah Me Imaan Badal Jata Hai,
Waqt Ki Andhi Me Toofan Badal Jata Hai,
Khuda Ki Kasam Kusoor Mera Nahi,
Husn Dekh Kar Imaan Badal Jaata Hai.

Har Udaasi Dil Par Chayi Hui,
Har Khushi Hai Mujse Ghabrai Hui,
Aur Kya Rakha Hai Zindagi Ke Daaman Me,
Chand Kaliya Hai Vo Bhi Murjhaai Hui.

Ho Chuka Hai Gair Ke Gulshan Ka Phool Tu,
Tujko Gale Ka Haar Me Keh Nahi Sakta,
Jiski Nahi Hai Manzil Is Rahe Shok Me,
Tu Hai Mera Pyaar Par Me Keh Nahi Sakta.

Bhulane Wale Se Koi Kah De Zara,
Is Tarah Yaad Aane Se Kya Faida
Jab Mere Dil Ki Duniya Basaati Hi Nahi,
To Khayalon Me Aane Se Kya Fayda.

DIL DARD KARTA HAIN,
JIS KI DAWAAH TUM HO.
AGAR QAYAMAT KA DAR NA HOTA,
TO KEH DETE KHUDA TUM HO.

Mere Khoon-E-Dil Ki Mehendi Hatho Me Tum Lagana,
Nikle Mera Janaazaa Tab Doli Tum Sajana,
Mere Ghar Pe Chaye Maatam Tab Khushiyaa Bhi Tum Manana,
Log Bahaye Aasoo , Par Tu Aasoo Mat Bahana...

Tum Char Par The, Hum Char Par The,
Char Tumhare Sath The,
Char Humare Sath The…
Farak Bas Itna Tha,
Tum Doli Mein Aur Hum Arthi Par The…

Na Dalo Kafan Mere Mu Par,
Mujhe Adat Hai Muskurane Ki.
Na Dafnao Mujhe Aaj Ki Raat,
Mujhe Umeed Hai Uske Ane Ki.

Dil Na Milte To Mulakat Adhuri Rehti,
Baat To Hoti Magar Baat Adhuri Rehti,
Shukriya Tera Tere Aanese Ronak To Badhi,
Nahi To Yeh Mehfil Ek Jasbat Aduri Rehti,
Tune Apne Daman Mein Chupaye Mere Aasu,
Nahi To Ankho Ki Barsaat Adhuri Rehti.

Zindagi To Bewafa Hai,
Ek Din Thukrayegi,
Maut Hi Ek Sacchi Mehbooba Hai,
Ek Din Zaroor Aayegi…

Apne Aagaaz Se Aaaj Tak Zindagi,
Teri Hi Yaad Main Gumi Rahi.
Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ehsaas Hai,
Jaise Chaahat Meri Kami Rahi.

Taqdeer ne kya kam sataya hua tha,
jo ab ye bewaqt hi tuje satane aa gaye,
logo ne nahi dekha apne girebaan main,
aur dekho mere 'sanam' ko aazmane aa gaye…

Maikana Bhi Apna Hai, Mehfil Bhi Humari Hai.,
Humne Zindagi Apni Jaam Mein Guzari Hai,
Aaj Tera Chehra Kyun Khil Utha Hai Jana,
Yeh Mausam Ki Shararat Hai Ya Nazar Humari Hai.

Ankh Khule To Chehra Tumhara Ho,
Ankh Band Ho To Sapna Tumhara Ho.
Mujhe Marne Ka Gham Na Hoga,
Gar Kafan Ki Jagah Dupatta Tumhara Ho.

Faasle Kum Bhi Kiye Meine Faasle Mitane Ke Liye ;
Door Tum Kyun Chale Gaye Yaad Aane Ke Liye;
Woh Wade Woh Kasme Woh Irade Bhool Jane Ke Baad;
Phir Kyun Tum Chale Aaye Khwabon Mein Mujhe Satane Ke Liye;
Saath Teri Tarah Chhod Rahi Hain Saanse Meri ;
Lo Koi Chala Aaya Hai Mujhe Le Jaane Ke Liye.

Woh Haathon Se Pilaye Toh Mein Kya Karoon,
Woh Aankhon Se Pilaye Toh Mein Kya Karoon,
Main toh Pine Ka Bilkul Aadi Nahin,
Jam Khud Chal Ke Aaye toh Mein Kya Karu.

Bewafa Kya Tujhe Meri Bikul Yaad Nahi Aati,
Kya Meri Yaad Tujhe Bilkul Nahi Satati,
Yeh Sher Likhkar Mein Diley-Byan Na Karta,
Par Kya Karoon Teri Tasveer, Tera Haal Nahi Batati.

Tumhara Intezar Karte Karte,
Humne Peena Seekh Liya,
Maut Ka Intezaar Karte Karte
Humne Jeena Seekh Liya.

Mast nazaron se dekh lena tha…
agar tamanna thi aazmaane ki…
hum toh yuhin behust ho jaate…
kya zarurat thi muskuraane ki……

Ajnabi galiyon se hum guzra nahin karte…
dard-e-dil liya aur diya nahin karte…
yeh pyar ka rishta sirf tum se hai…
warna itni baatein hum kisi se kiya nahin karte……

Pyar kehte hain… mohabbat kehte hain…
kuch log isey bandagi kehte hain…
magar jin pe hain hum marte…
hum unhe zindagi kehte hain……

Nigahen nigahon se milakar toh dekho…
naye logon se rishta banakar toh dekho…
jo hai dil mein usey kar do bayaan…
khud ko ek baar jagaakar toh dekho……

Pyar kamjor dil se kiya nahi ja sakta,
Zeher Dushman se liya nahi ja sakta,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki
us ke bina jiya nahi ja sakta.

Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega,
Door hone ke baad kaun kise yaad aayega,
Jee lo ye pal jab hum saat hai, kal ka kya pata,
waqt kahan le jayega……

Muskura do Zara khuda ke vaste,
sama-e-mahefil mai roshni kam hai,
tum hamare nahi toh kya gum hai,
hum tumhare to hai ye kya kam hai?

kya sunaye tumhe apne fasaane ki…
badla hai waqt lag gai nazar zamane ki…
log samajhte hai ki khush hain hum…
aadat si pad gayi hai muskuraane ki.........

mere jeene ke liye tera armaan hi kafi hai....
dil ki kalam se likhi ye daastan hi kafi hai...
tir-e-talvar ki tujhe kya zaroorat...
qatal karne ke liye teri muskaan hi kafi hai.....

sharabi ilzaam sharaab ko deta hai..
ashiq bhi ilzaam shabaab ko deta hai..
koi nahi karta, kabool apni bhool..
kantaa bhi ilzaam gulaab ko deta hai..

Dhoka diya tha jab tum ne mujhe,
Dil se main naraaz tha,
Phir socha ki dil se tumhe nikal dun,
Magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha.....

kaash aapka dil na itna saqt hota,
hamare liye bhi aapke paas thoda waqt hota,
kash hamara dil bhi thoda saqt hota,
judaai ka ehsaas to hame na har waqt hota...

main jaanta hoon ki yeh khwaab jhuthe hain aur yeh kushiyaan adhuree hai,
magar zindaa rahane ke liye mere dost , kuchch galat phaimiyan zaruri hain.

Mera Ikraar Tere Inkaar Se Behatar Hoga,
Mera Din Bhi Teri Raat Se Behatar Hoga,
Yakeen Nahin To Dolee Se Jhankke Dekhna,
Mera Janazaa Teri Baaraat Se Behatar Hoga.

Kash ye pal yahi ruk jate,
Tujhe milane ko hum daude chale aate,
E-Khuda itna ek kaam toh kiya hota,
Ek dil is bedard waqt ko bhi diya hota

Aankho Pe Ghamon Ke Pehre Hain,
Zakhm Jigar Ke Gehre Hain,
Fariyad Kare Toh Kis Se Kare,
Dunya Wale Toh Behre Hain

Gulshan ki fakat phoolon se nahi kato se bhi jinat hoti hai.
jin ke liye duniya me khushiyon ki hi nahin gham ki bhi zarurat hoti hai

Yadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai
kaano me gunjti sehnai si lagti hai
aap karib hain to aapnapan hai,
warna seene me saans bhi parai si lagti hai.

kabhi kaha na kisise tere fasane ko,
jane kaise khabar lag gayi zamane ko!
Dua bahaar ki mangi to itni phool khile,
Kahin jagah na mili mere aashiyane ko!!

Har lafz ko kagaj pe utara nahi jaata,
Har naam ko sar-e-aam pukaara nahi jaata.
Hoti hai pyar mein kuch raaz ki baatein,
Yunhi to is khel mein harra nahi jaata....

Aankhen oonchi hui to dua ban gayi,
Aankhen nichi hui to haya ban gayi.
Jo jhuk kar uthi to khata ban gayi,
aur uth kar jhuki to ADA ban gayi...

Dil tor diya, chita bhi jalaa dena,
kafan na mile dupatta uda dena,
koi puche rog kya tha to
nazar jhukakar mohabbat bata dena.

Humne Socha Shayad Humi chahte hain unko,
Par unhe chahne walon ka to kafila nikla,
Dil ne kaha shikayat kar KHUDA se,
Par woh Khuda bhi unka chahnewala nikla....

fiza par tho asar hawaon ka hota hain,
mohabbath par tho asar adawon ka hota hain,
aisi hi kisika deewana nahin hota,
kuch tho kasoor nigahon ka hota hain.

Mohabbat ki shama jalake to dekho,
Zara dil ki duniya saja kar to dekho,
Tumhe ho na jaye mohabbat to kehna,
Zara humse nazrein milakar to dekho....

Phoolon mein haseen Gulab hai,
Husan ke saath zaruri sharab hai,
Duniya mein har sawal ka jawab hai,
Agar koi tumse mere baare mein poochhe to kehna wo lajawab hai...

Shama Jalti Hai Parwane Chale Aate Hai,
Sar Ke Bal Ishq Ke Diwane Chale Aate Hai,
Ab To Aa Jao Meri Jaan Ke Janazaa Uthne Ko Hai,
Log To Geiron Ko Bhi Dafnane Chale Aate Hai...

Ishqwale aankhon se aankhon ki baat samajh lete hai…
sapne mein mil jaaye toh mulakaat samajh lete hai…
rota toh aasmaan bhi hai apni dharti ke liye…
log uske aansu ko barsaat samajh lete hai……

Har majboori se ladna seekho…
har gham ke saat jina seekho…
majbooriyan hamari bhi kam nahin…
par hamari tarah muskurana seekho……

Rukhsat ke waqt ki wo gulaab aankhen…
Haay kaise sharma gayeen wo laaj aankhen…
Ghoonghat ki aut se dekha hamne…
To kaise simat ke jhuk gayee wo sharaab aankhen

Chand to pagal hai andhere mein nikal padta hai…
Roz Taron ki numaish mein khalal padta hai…
Unki yaad aayi hai sanso zara dheere chalo…
Dhadkano se bhi ibadat mein khalal padta hai

Zamane se nahi, tanhai se darte hai,
Pyaar se nahi, rushwaai se darte hai,
Milne ki umang bahut hai dil mein,
Lekin milne ke baad ki, judaai se darte hai.

Deewane hai tere naam ke,
is baat Se inkaar nahi,
kaise kahe ki hume Aapse pyaar nahi,
Kuch to kasoor Hai aapka ,
akele to hum gunegaar nahi.

Kehte hain pathar dil aankh se aansu nahi bahate…
agar ye sach hai to kyon nikalte hai jharne pahad se…

yeh nigahain kisi yaar ko dhunde hai,
gali gali guzre ab tere dar par khade hai,
Dil ka darvaza khol dilwale bahar khade hai,
pyaar ki nigahoon se dehk pyaar karne wale khade hai

hota nahi mehsoos dard tere zakhmo ka,
kyu aaj talwaar ki dhaar kam hai,
kuch de aise zakham mujhko yaar,
kyu lagta hai aaj tera pyaar kam hai...

palbhar me jo tut jaye wo kasam nahi,
pyar ko bhool jaye wo hum nahi,
tum bewafa bano is baat me kuch dum nahi,
kyuki hamari wafa bhi kuch kam nahi.

Aaj tak na haara hoon aur na kabhi haaroonga,
zindagi se mujhe koi shikayat nahin...
Duniya se ab mujhe koi gila nahin…
hota hai ahsaas mujhe ab is sachai ka,
main hi alag hoon, aur koi juda nahin...

Zindigi Mohtaj Nahi Manzilon ki,
Waqt har Manzil Dikha Deta hai,
Marta Nahi koi Kisi se Juda Hoke,
Waqt Sabko Jeena Sikha Deta hai…

Mohabbat ke bhi kuch andaz hote hai,
jaagti ankhon may bhi khwaab hote hai,
zaroori nahi ki gham may aansu hi nikle,
muskurati aankhon may bhi sailab hote hai…

Mat karo vada jise tum nibha na sako,
mat chaho jise tum pa na sako,
pyar kisika kahan pura hota hai,
jab pyar ka pehla akshar hi adhura hota hai!

Shoki hein nazakat hein ,
ahon mein shararat hein,
Aisa bhi sharmana kya,
keh do ki mohabbat hein !!!!!!

Tapat Sooraj mein hoti hain
Tadapna sabko padta hain
kasoor ahon ka hota hai
Tadapna dil ko padta hai

Bikhri hui zulfon ko girahgeer bana lo,
rakhna hai mujhe qaid to zanjeer bana lo,
kaagaz pe lakeeren to bahut kheech le tumne,
ab sab ko mila kar meri tasveer bana lo

Jis shaam mere lab per tera naam na aaye,
Khuda kare aisi shaam na aaye....
Aai jaane wafa, ye kabhi mumkin hi nahin,
Afsaana likhlu aur tera naam na aaye.

Raaz-e-ulfat chupa ke dekh liya..
Dil bahut kuch jalaa ke dekh liya..
Woh mere ho ke bhi mere na hue..
Un ko apna bana ke dekh liya,
Aur kya dekhne ko baaki hai..
Aap se dil laga ke dekh liya

Aap nazakat se kya gujere mohalle se,
kuch tutne ki aawaz aayi,
kam se kam nazarein utthakar dekh to leti,
aapki ada hai kya qayamat layi.

Pyar ki kashish ko har koi kahan samazhata hai,
ye aagosh mein aane ka naam nahi.,
ye to dilo ka sivala hai,
bistaron pe likhe jaane wali dastan nahin.

Tumhare bichadne se dil ka ye aalam hai,
ki raat din moti chuna karte hain,
log kehte hain pagal hai, deewana hai,
unhe kya pata aise hi tumhare aansoon dikhte hain.

Ek saahil ki lehar sabko bhigo deti hai,
nazakat kisi ki dilo ko dubo deti hai,
Kyon log dusron ke saath aisa karte hain,
Kisi ki galtiyaan kisi ko sazaa hoti hai.

Khud ko kar buland itna, ki har taqdeer se pehle,
Khuda khud bande se poochey, Bataa, "Teri raza kya hain?"

Jeete hain tumhaara naam lekar,
Marna bhi tumhaare naam se hi hoga,
Arthi par kafan hataa kar dekho,
Hoton par tera naam hi hogaa.

Arz karne ki tamana to bahut hai,
per Alfaaz nahi hai.
Ye kudrat ke azib karishmein hai,
ke dil mein dard hai, per Juban nahi hai.

Jinhe ishq sadik hota hai,
voh kab fariyad karte hai,
Labon pe mehre khamoshi,
dilon mein yaad karte hai.

Yun jaam pe jaam peene se kya fayda,
subah tho uthar jayegi,
thodi apne aankhon se pila de sakhi,
saari umar guzar jayegi

Sachha pyar karne ka dua sabhi karte hain,
Nibhana kuch hi ko aata hain,
Humne kiya aur nibhaya bhi,
Aap hi unke kaabil nahin

Ishq ke lamhe sharaab lagte hain,
Kuch chehre mehtaab lagte hain,
Dukh itne sahe mohabbat main guzre hue
Ke har lamhe hi azaab lagte hain.

Bahut tamanna thi, pyar mein aashiyane banane ki,
Bana chuke to lag gayi Nazar zammane ki.
Usi ka karz hai jo aaj hain aankhon mein aansoo,
Saza mili hai hume bus muskurane ki

Rehmate karam itna na baras,
Itna na baras ke wo aa na sakein,
Jab who aa jaayein tho jam ke baras,
Itna jam ke baras ke wo jaa na sakein.

Khudaa jab husn deta hai,
nazaakat aaa hi jati hai,
Kadam chun chun kar rakhti ho,
kamar balkha hi jaati hai.

Tujhko dekhe to sitare bhi Zia mangenge,
Pyase teri zulfon se ghata mangenge
Apne maathe se yun aanchal ko na sarkaa dena,
Varna buddhe bhi jawaani ki dua mangenge.

Gul mohar ki kataar jaisi ho,
Wadiyon main bahaar jaisi ho,
Paayalon ki chum chum chum si,
Chand meri yaar, kaisi ho ?

Husna ko chand, Javani ko kamal kehte hain!
Dekh kar hum tujhe, Ek shauk ghazal kehte hain!
Uff yeh sangeen huwa shafaf badan,
Dekhne wale tujhe Taj Mahal kehte hain.

Koi dil me liye armaan chala jata hai,
Koi khoye hue ausaad chala jata hai,
Husnawalo se keh do ke na nikle bahir,
Dekhnewalo ka imaan chala jata hai.

Kabhi to ki hogi suraj ne chand se mohabbat,
Tabhi to chand mein daag hai,
Mumkin hai ki chand ne ki hogi bewafai,
Tabhi to suraj mein aag hai.

Milna-bichadna to waqt ka dastur hota hai,
Judaa hokar bhi koi yaado se na door hota hai,
koi nahi chahta judaa hona apno se,
wo to waqt ko shayad ye hi manjoor hota hai.

Khamosh si rehne lage ho,
intezaar kisi ka karne lage ho,
yaqinan kisi se ho gayi hai mohabbat,
tab hi bina baat ke muskuraane lage ho,
dekho phir muskura diye…

Jis ke paas kuch nahin usse duniya hasti hain,
jis ke paas sab kuch hai usse duniya jalti hain,
aapke paas hum hain,
jise pane ko duniya tarasti hain…

Hum toh mushroof the apni tanhaiyon mein,
muddaton baad kisi ne pukara hain,
ek pal toh hum rukh kar sochne lage,
kya yehi naam hamara hai…

Bewafai ka darr tha toh pyar kyon kiya,
tanhai ka darr tha toh iqraar kyon kiya,
maut bhi poochegi aane se pehle,
ki jo nahin aanewaali thi uska intezar kyon kiya…

Dooriyon ko na parwaah kiya kijiye,
dil jab bhi pukare bula lijiye,
hum door zyada nahin aapse,
bas apni ankhon ki palkon ko mila lijiye…

Mohabbat har insaan ko aazmaati hai,
kisi se rooth jaati hai aur kisi par muskurati hai,
mohabbat khel hi aisa hai,
kisi ka kuch nahin jaata aur kisi ka jaan chali jaati hai…

Geet ki zarurat mehfil mein hoti hain,
pyar ki zarurat dil mein hoti hai…
phir bhi adhoori hai ye zindagi kyonki,
dost teri zarurat har pal mein hoti hai…

Har dua qubool nahin hoti…
har arzoo poori nahin hoti…
jinke dil mein aap jaise dost rahte ho…
unke liye dhadkane bhi zaruri nahin hoti…

Har subah ki dhoop kuch yaad dilaati hai… h
ar phool ki khushboo ek jadoo jagaati hai…
chaho ya na chaho kitna bhi par…
aap hi ki yaad aa hi jaati hai…

Ek mulaqat anjaan hoti hain...
Anjaan se hi to pehchaan hoti hain...
Jahaan dekho wahaan ishq ke bimaar beithe hain...
Hazaaro marr chuke hain lekin seikdo taiyaar beithe hain..!

Chehre pe haseen chaa jati hain,
Aankhon main suroor aa jata hain,
Jab tum mujhe apna kahte ho,
Apne pe ghuroor aa jata hain.

Itna khoobsurat kaise muskura lete ho,
Itna qatil kaise sharma lete ho,
Kitni aasani se jaan le lete ho, Kisi ne sikhaya hain...
Ya bachpan se hi kamine ho?

Tumhe milne ki chahat mein,
hum dewaane na ho jaaye,
darr tha hoon yun hi intezar karte karte,
duniya se rukhsad na ho jaaye.

Unki chahat ko apni mohabbat bana ke dekh,
Unki hasi ko apne hoton se muskura kar dekh,
Unke ashkon ko apni aankhon se gira kar dekh,
Unki bechainiyon ko apne dil main basa kar dekh,
Ye mohabbat ek haseen tohfa hain aye dost,
Kabhi mohabbat ko is tarah bhi nibha kar dekh.

Hosla karte hain jeene ka magar hota nahin,
Zindagi ka yeh safar kyon mujhtasir hota hai,
Akal ka dewangi se wata kaisa bhala,
Ishq meri jaan kabhi bhi soch kar hota nahin.

Gairon ke mehfil mein kadam zaroor rakhte hain sanam,
lekin hoton pe naam tera, dil mein pyar hota hai…
tujhe yun chod ke kya kisi aur se milenge hum,
jo basa hai dil mein chand ban ke voh tu iklota hai..

Shabnam ko aankhon se na chalakne dena…
sambhalo inko kahin ke na qayamat ho jayena…
na tha iraada ki tera imtihan main loon,
par kya karoon iqrar e mohabbat sune bina raha jayena…

Unke aansuon ki keemat mat pooch, anmol hai voh…
ek ek boond mohabbat ke liye hai jo…
in aansuon ko dil mein dabaake rakhna nahin aasaan,
sachcha mohabbat ka hai voh pehchaan.

Lafzon mein fasane dhoondte hain hum log,
lafzon mein zamane dhoondte hain hum log,
tu zeher hi de sharaab kehkar aye saqi,
jeene ki bahane dhoondte hain hum log…

Ishaaron mein tumhe mohabbat ka paigaam pahunchate hain,
aur kya chahiye humein, aap jo inhe samajh lete hain…

Tum na mano yah hakikat hain,
Dost insaan ki zaroorat hain,
Kisi din aao hamari mehfil mein,
Jaan jaoge zindagi kitni khubsurat hain.!

Kabhi isi seene pe sar jhukaya tha tu ne…
kabhi inhi bahon mein hosh sambhala tha tu ne…
aaj mukaraate ho deedar se hamari…
kabhi isi chehre ko chand kaha tha tu ne…

Abhi aagaaz hua hai benaam,
anjaam dekhna baaki hain,
dil ki duniya abhi dol rahi hain,
abhi sambhalna baaki hain…
yaad unki dard le aayi hain yun,
dil ka tadapna baaki hain…
kuch pal ka likha tha Milan…
ab sadiyon ka judai baaki hain…

Aise bhi sitam ishq me hote hain,
Ke ratton ko hum jagte aur woh sote hain,
Kabhi bhool se jo do pal ko lage aankh,
Toh khwab me bhi hum to unse qalt hote hain!

Har Dil Mai Ek Umang Utha Karti Hai,
Har Umang Ek Raaz Kaha Karti Hain,
Mumkin Nahin Ki Har Koi TajMahal Bana De,
Magar Har Dil Mai Ek Mumtaz Raha Karti Hai..

Mat Lauta Pyasa Mujhe tera Maikhana se,
Mera Hissa ki toh chalak jayegi tera paymana se,
Bikra do zulfon ko andhera ho jayega,
Kaun dekhega is andhera main do ghadi guna ho jayega.

Raat bhar jagti aankhon se duayen doongi,
chand niklega to khirki se dikhayee doongi,
ye mohabbat hain sanam zara soch samazhkar roiyega,
ek aansu bhi jo toota to sunai dega

Khuda ne insaan banaya,
insaan ne pyar paya,
pachta rahe hai us alamse,
jab shabnam ne nazara churaya,
tabse bhatak rahe hain log pyar mein,
gali gali chahat ke mare,
bhul gaye hai voh ek galti,
ab to khuda bhi hare!!!

Nafrat thi humse toh izhaar kyon kiya?
Dena tha zeher toh pyar kyon kiya?
Dekar zehar kehte ho peena hi hoga.
Aur jab pee gaya zeher toh kehte ho ab jeena hi hoga.

Har taraf khamoshi ka saaya hain,
zindagi mein pyar kisne paaya hain,
hum yaadon mein jhumte hain uski,
aur zamana kehta hain dekho aaj phir peekar aaya hai…

Kisi ko Palkon par na Bithao,
Wahan toh Sirf Sapne Baste Hain,
Bithaao toh Dil Mein Bithaao,
Kyonki Yahan toh Sirf Apne Baste Hain…

Aankhen toh pyar me dil ki zuban hoti hain,
sachi chahat toh sada bezuban hoti hai,
pyar me dard bhi mile to kya gabrana?
Suna hai dard se chahat aur jawaan hoti hai.

Unki aankhon mein ek kashish dekhi hain,
Dil mein unke mohabbat dekhi hain.
Chupaye woh humse apne dil ki kitni bhi khumari,
Unki khamoshi mein humne woh bekarari dekhi hain. ...

Mohabbat karne wala umar bhar kuch nahin kehta,
Dariya mein toofan aata hai samunder kuch nahi kehta.
Mera dil aur mera chehra, hain dono ek jaise,
Ek andar khamosh hain, ek bahar kuch nahi kahta. ...

Jab tum na dikhe toh dekhne ka taras hain,
jab tum dikhe toh milne ka taras hain,
aur jab tum mil hi gaye toh tere hoton ka taras hain.

Guroor apne naseeb pe hum karte hain,
khamoshi se hi sahi par ye sanam kehte hain,
akeli raat mein saamne jo tu nahin hota,
hum palkon ko milake tera deedar karte hain…

Girti hui barish ki boondo ko apne haatho mein simat lo,
Jitna pani tum simat paye utna yaad tum karte ho,
Jitna pani tum nahi simat paye utna yaad hum karte he. ...

Nakaam si koshishe kiya karte hai,
Hum hain ki unse pyar kiya karte hai,
Khuda ne takdir me ek tuta tara bhi nahi likha,
Aur hum hain ki chand ko pane ki zurrat karte hain… ...

Socha tha isbar unko bhul jayenge,
Dekhkar bhi unko undeha kar jayenge,
par jab jab samne aya chehra unka,
socha isbar dekh le, agli bar bhul jayenge…

Aapse milkar khuda ki ibadat bhool gaye.
Aapki aadatein dekh ke apni aadat bhool gaye,
yeh kaisa jaadu kar diya hain aapne,
aapse milkar marne ki chahat bhool gaye…

Khali shishe bhi nishaan rakhte hain...
Tute hue dil bhi armaan rakhte hai...
Jo khaamoshi se guzar jaye,
woh dariya bhi dil me toofan rakhte hain...

Tanhaiyo se nahi hum mehfil se darte hain,
duniya se nahi hum apne aapse darte hai,
yuh toh bahut khoya hai humne,
na jane kyun tujhe khone se darte hain…

Aap ki yaad me sab kuch bhulaye baithe hain,
Chiraag khushiyon ke bujhaye baithe hain...
Hum to marenge aap ki baahon mein,
Yeh bhi maut se shart laga baithe hain...

Chand utra tha hamare aangan mein,
yeh sitaro ko gawara na hua,
hum bhi sitaron se kya gila kare,
jab chand hi hamara na hua...

Kadam unke behekte hain,
dil majboor hamara hota hai,
Masti unko chadhti hai,
suroor hamara hota hai.

Badi ajeeb hai daastaan-e-mohobbat hamari,
Niyat unki bigadti hai,
kasoor hamara hota hain. ...

Shabnam phool per girti hain,
Pattiyan nam nahin hoti.
Chahe laakh judai ho jaaye,
Mohabbat kam nahin hoti.

Pyar saccha hai to waqt ruk jaata hain,
Aasman lakh uncha ho magar jhukh jaata hai.
Pyar mein duniya lakh bane rukavat magar,
saathi saccha ho to khuda bhi jhukh jata hai. ...

Woh apne chehre me sau aftaab rakhte hai,
isi liye toh woh rukh pe nakaab rakhte hai,
woh pass baithe toh, aati hai dilruba khushboo,
woh apne hoton pe khilte gulaab rakhte hai. ...

Rab se aapki khushi mangte hain,
duaon mein aapki hasi mangte hai,
sochte hai kya mange apse,
chalo aap se umar bhar ka saath mangte hai...

Waqt guzarta raha,
par saanse thami thi.
Muskura rahe the hum par aankhon me nami thi?
Saath hamare yeh jahan tha sara,
par Na jaane kyon aapki hi kami thi…

Aap ka naam labon par nahin laate,
par sharm bayan karti hain.
Chupate hain jo baat jahan se,
woh aankhen kaha karti hain.
Hamare dil ne hi hai thukraya hume,
kyonki is dil mein aap basa karte hain...

Teri aankhon ki gehri jheelon mein,
jab bhi jhanka hain, khud ko paaya hain,
log kehte hain jisko tera shawab,
dar hakikat, mera hi saaya hain…

Khushboo-e-hina ho tum,
mehfil-e-rangeen sama ho tum,
kis kis se chupaoon tum ko,
meri har baat se ayaan ho tum…

Mehbooba ke yaad mein aankhen gila karte hain,
log is ehsas ko mohabbat kaha karte hain…
aasmaan bhi dharti ke yaad mein roya karti hain…
log is ehsas ko barsaat kaha karte hain…

Surkh aankhon se woh jab dekhte hain,
Hum ghabrakar aankhen jhuka lete hain.
Kaun milaye un aankhon se aankhen,
Suna hai woh aankhon se apna bana lete hain…

Saaton asmaan ki sair hum kar aaye.
Har ek tare se dosti hum kar aaye.
Ek tara khas tha jise hum apne saath le aaye
varna aap hi sochiye aap is dharti pe kaise aaye. ...

Tum kya Jano kya hoti hai Tanhai,
ek Tute hue Patte se pucho kya hoti hai Judai,
Yuh Bewafai ka Ilzam na de dost,
Is Waqt se puchh ke kis waqt teri yaad na aayi…

Kuch bikhre sapne se aankh me nami hai,
ek chhota sa aasman aur ummeedo ki zain hai,
yu to bahot kuchh hai zindagi me,
sirf jise chahte hai usi ki kami hai...

Mehfil na hoti Nazare na hote,
Yun Chand k pehlu me sitare na hote,
Hum isi liye karte hai Aapki parwah,
Kyonki Dil k kareeb saare nahin hote.

Pani ka ek katra aankh se gira abhi abhi..
Kya tum ne mujhko yaad kiya abhi abhi..
Tujh se mile zamana hua magar...
yun laga koi mujhse mil k gaya abhi abhi…

Aapne apni aankhon me noor chupa ke rakha hai,
Hosh walo ko Diwana Bana Rakha Hai,
Naaz Kaise Na Karu Aapki Dosti par,
Mujh Jaise Nachiz ko Khas Bana Rakha Hai…

Mazaa lena hai barsaat ka toh meri aankhon mein aa baitho,
woh barson mein kahin barse, yeh barson se barasti hain…

Asmaan ko neend aaye toh sulaau kaha,
Dharti ko maut aye toh dafnao kaha,
Sagar mein lehar aye toh chupao kahan,
jab teri yaad aye toh jaoon kahan…

Najane log khudko kya samajhte hai,
baat na karo toh takrar samajhte hai.
Ghar se na niklo toh bimaar samajhte hai,
aur agar kisiko has ke baat karo toh pagal samajhte hai…

Kal jo dekha tha humne woh haseen khwab ho tum,
Mere liye ek khubsurat ehsas ho tum,
tumne ye kaise soch liya k bhul jaungi main tumhe,
hamari har ek saans k hakdar ho tum..

Tum ho zindagi, tumhari kitaab hum hai…
Tum ho nasha, tumhari sharaab hum hai….
Kuch to rishta hai hamara tumhara…
tum sawal ho to jawab hum hai…

Zuban hi sirf ek zaria nahin,
jo aap lafzon ko samajh paayenge.
Kabhi aankhon mein jhaank kar dekhiye,
hazaro alfaz khud b khud bikhar jayenge."

Kisine dil ko iskadar choo liya ke,
hum kisi aur ko choo na sake,
hum toh chale the dost banane,
Lekin aap toh dhadkhan bante chale gaye! ...

kya kahe kaisa hai hamara mehboob...!
aasman ke farishte bhi pachtaye,
phoolo ki khushboo bhi jiske aage sharmaye,
chandan bhi jiske aage fika pad jaye,
jiski adao pe kuch likho to kalam tut jay ...

Dillon se khelne ka hunar hame nahin aata
isliye ishq ki bazi hum har gaye.
mere zindagi se shayad unhe bahut pyar tha
isliye woh hume zinda hi mar gaye. ...

Aankhon pe aansuon ki lakir si bann gayi,
Kabhi socha na tha aisi taqdeer bann gayi.
Humne toh firayi thi reth pe ungliyan,
Gaur se dekha toh teri tasveer bann gayi…

Har shaks ko dewana bana deta hai ishq...
mili yaar se ek nazar, fasana bana deta hai ishq...
dil ke mareez ho to pyare kar lo mohabbat...
har dil ko dhadakana sikha deta hai ishq.

Samandar main jitna pani hai,
woh surayya mein bhar nahin sakta.
mere dil main jitni mohabbat hai,
woh khat main likh nahin sakta.

Duniya mein aadmi aurat ke sahara hain,
par dekho idhar hum tumse haara hain,
saat milke jeene ki tamanna hain,
khushi hi nahin agar tum humse juda hain……

Dilon mein dooriyan hain, aapas mein tadap hain,
judai ki dard badalonko chuva hain,
pyas hain, taras hain,
inhi badalon mein barsaat banke chupa hain……

Hazaar aankhen bhi kam hain…
aapke ada ko dekhne ke liye…
Hazaar baatein bhi kam hai…
aapke khubsoorati ko bataane ke liye……

Kis ki qwabon ka haseena ho…
kis shayar ka pyara shayari ho…
yeh chamakte aankhen… yeh bhikri zulfen…
aise nazakat se tum chale…
toh chand bhi kyon na jale..

Kehna meri jaan se..
ke na aaye mere janaze mein…
kyonki yeh meri mohabbat ki tohin hogi…
Main chaar logon ke kandhon par aur…
meri jaan paidal hogi…

Kashish honi chahiye kisi ko yaad karne ki…
lamhe apne aap hi mil jaate hain…
waqt hona chahiye kisi ke saath guzarne ke liye…
bahane toh apne aap mil jaata hain…

Ek din jab hum duniya se chale jayenge…
Mat sochna aapko bhool jayenge…
bas ek baar aasmaan ke taraf dekhna…
mere chehra sitaron par likhe nazar aayenge…

Dete ho kyo yeh dard bas hami ko?
Kya samjhoge tum in aankhon ki nami ko?
Yu to honge lakhon dewane is chand ke,
Chand kya mehsus karega ek taare ki kami ko...

Dil ke kareeb aake jab woh door ho gaye,
Saare haseen khwab choor-choor ho gaye,
Humne wafa nibhayi to badnami mili,
Aur woh bewafai karke bhi mashoor ho gaye…

Yaad mein teri aankhen bharta hain koi,
har saans ke saath tujhe yaad karta hai koi,
maut to sachai hai aani hai,
lekin teri judai mein har roz marta hai koi....

Manzar e khudrat mein phir se dil chala aaya…
khudrat ho ya insaan wah kya cheez yeh dil hai banaya…
madhosh fiza, yeh khoob wadiyan…
Jharno mein bhi bahta… Hume toh pyar hi nazar aaya…

Tumhare liye kaanto ki raah se bhi guzar jaye,
raat bhar ek teri hi yaadon me kho jaye,
tera naam le ke hi jage aur tere naam se hi so jaye,
ek ishare pe tere, teri baaho me has ke mar jaye

YEH MAT SAMAJHNA KI MAIN DIL LAGA KAR BHOOL JAOONGA,
MAIN TOH WOH DEWAANA HOON JO QAYAMATH MEIN BHI MILNE AAOONGA.

Zindagi ki Raho me Jab aage Jaoge,
Piche Ek Saaya Tum Har dam paoge.,
Mudhkar Dekha toh Tanhai Hogi,
Agar Mehsoos Karoge toh Hame Paoge

Ho sakta hai usne anjane mein hume rula diya,
Unhone duniya ke kehne pe humko bhula diya,
Hum to waise bhi akele the,
Kya hua agar unhone ehsaas dila diya...

Aisi bewafai ki usne… mohabbat bhi badnaam ho gayi…
Apni mohabbat ki itni keemat vasool ki usne…
ki hamari kabar bhi nilaam ho gayi…

Lamha lamha waqt guzar jayega,
chand lamhon mein daman chut jayega,
is lamhe mein baat kar lo humse,
kya pata kaun sa lamha hume aapse door le jayega…

Bolti hai dosti…
chup rehta hai pyar…
hasti hai dosti..
rulata hai pyar…
milati hai dosti…
juda kar deta hai pyar…
phir bhi kyon dosti ko chodkar log karte hai pyar…

Meri chahat ne tujhe khushi de di…
badle mein tu ne mujhe sirf khamoshi de di…
khuda se dua mangi thi marne ki…
lekin usne bhi tadapne ke liye zindagi de di…

Teri pyar ka sila har haal mein denge,
Khuda bhi maange yeh dil to taal denge..
Agar dil ne kaha tum bewafa ho,
Toh is dil ko bhi seene se nikal denge..

Har ashq ka matlab gham nahin hota,
Dooriyon se pyar kabhi kam nahin hota.
Waqt bewaqt ho jati hain aankhen nam,
Kyonki yaadon ka koi mausam nahin hota.

Dil ki choton ne mujhe chain se rahne na diya,
Jab chali sard hawa maine tujhe yaad kiya,
Iska rona nahin ke kiya tune dil barbaad,
Iska gham hain ke bahut der main barbaad kiya...

Tu saat hain to har gham manzoor hain mujhe.
Tu saat hain to har khushi saat hain mere.
Tujhe khokar me kaise jiyungi is zindagi ke safar me...
tu saat hain to zindagi ke sapne sakar hain mere.

Kuch pal ke liye aa jaao vaapis,
Hum dil ki kahani keh denge...
Samjhe na tum aankhon se;
Voh baat zuban hi keh denge....

Aansuon ke chalne ki awaaz nahin hoti,
dil ke tootne ki aahat nahin hoti,
agar hota khuda ko har dard ka ehsaas
to use dard dene ki adat nahin hoti,
kyon ki tum woh ho ki jiske liye main saans leta hoon...

Yaadon ke sahare jiye jaa rahe hain…
unke liye hazaron aansu piye jaa rahe hain…
anjaan hain voh hamari in jazbaton se…
phir bhi unke naam ki hi har saans hum liye jaa rahe hain…

Voh aaye maiyat par meri,
karne mohabbat ka izhar,
mere bejaan jism ne kaha, mat ro,
aaj bhi main tujhe karta hoon pyar.

Tum rote ho hume rulane ke liye…
tum haste ho hume hasane ke liye…
tum ek bar ruth kar toh dekho…
hum apni jaan de denge tumhe manane ke liye…

Teri yaad dil beqarar karti hain…
nazar talash tujhe bar bar karti hain…
gila nahin jo hain hum door tum se…
Teri toh judai bhi hum se pyar karti hain…

Jab jab unka khayal aata hain,
ek dard sa dil mein chata hain,
pehle sochta hoon unhe baahon mein bharlu
phir hakikat nahin khwaab hone ka ehsaas aata hain

Guna hi sahi de do mujhko koi saza…
par phir bhi kaho ke tujhse pyar ho…
mil jaaye mehboob ki bas chahat mujhe…
uff yeh sitam bar bar ho…

Yaadon dil mein basakar hum jeena chahte hain…
yeh dil qurbaan kar ke hum mar jana chahte hain…
jo bhi anjaam e mohabbat hoga dekha jaayega…
hum toh tum se wafa e mohabbat nibhana chahte hain…

Khudrat ke har roop mein hain prem basa…
har zarne mein basa mohabbat ka nasha…
mujhse bani tu ya tujhse main bana…
jo pyar na kare voh kare tohin e khuda…

Log apna bana kar kaise chod dete hain…
rishta gairon kaise jod lete hain..
Hum se toh ek phool bhi toda nahin jaata…
Jane kaise log kisi ka dil tod dete hain…

Khud ko khud ki khabar na lage,
koi achha bhi is kadar na lage,
aap ko dekha hain bas us nazar se,
jis nazar se aap ko nazar na lage

Hansi ne labon pe thirkana chod diya…
Qwabon mein Kisi ne aana chod diya…
nahi aati ab toh hichki bhi humko…
lagta hain aapne yaad karna chod diya…