Tuesday, June 23, 2009

Shayari Collections Updated

1. Chand adhoora hain sitaron ke bina, gulshan adhoora hain baharon ke bina, samundar adhura hain kinaron ke bina, jeena adhura hain tum jaise yaaron ke bina.

2. Najar jhuki to pemaane bane, dil toote to maikhane bane, kuch na kuch to zaroor hai aap mein yuhin nahi hum aapke dewaane bane.

3. Raat hui jab shaam ke baad, teri yaad aayi har baat ke baad, humne khamosh reh kar bhi dekha, teri aawaz aayi har saans ke baad.

4. Aapke mehfil ka Sama suhana lage, Ek pal churalu agar bura na lage, hame to aap bhul jayenge, Lekin aapko bhul ne me shayad zamana lage.

5. Dua karte hain hum sar jukaye… Ae dost tu apni manzil ko paaye…Agar kabhi teri raho me andhera aaye…. Roshni ke liye khuda hum ko jalaaye.

6. Roz ek nayi shikayath hai aap se, kaun jane kitni mohabbat hai aap se, nahi thukrana is dosti ko aye dost… bas itni guzarish hai aap se.

7. Ehsaan doston par jatane nahin hote, karz dosti mein chukane nahin hote, bas salamat rahe ye dosti hamari, ye wo rishte hain jo kabhi purane nahin hote.

8. Ho saktha hai barish ke baad aasman nila na ho, ho saktha hai dhup aane par sarso pili na ho, par aisa kaise ho sakta hai, apki yaad aaye aur ankhen gili na ho.

9. Yun to apko roz yaad kiya karte hain, man hi man main dekh liya karte hain. Kya hua agar aap pas nahi hamare…Dil hi dil main mulakatein kar liya karte hain.

10. Tere bina raha nahin jata, kuch khaya-kuch piya nahi jata. Tumhara khayal jo dil me hai voh nikala nahi jata. Aur kya kahu tumse isse zyada jhoot bola nahi jaata.

11. Hum woh nahi jo tujhe gum mein chhod denge, hum woh nahi to tujhse naata tod denge, hum to tere woh DOST hain jo agar teri saas bandh ho to apni saase jod denge.

12. Is kadar hamari chahat ka imteha na lijiye, kyon ho humse khafa ye bayan to kijiye, kardijiye maaf agar ho gayi humse khata, yu khamosh rehkar hume saza na dijiye.

13. Dil ke galiyo mein koyi gham na ho, hamari yeh dosti kabhi kam na ho, bas yahi dua hai ki tum khush raho, kya pata hum agar KAL HO NA HO.

14. Aapke aashiyana hum ne dil me basa rakha hain, aapki yaadon ko seene se laga rakha hain, pata nahi aapki yaad aati hai kyon, dost toh hum ne auron ko bhi bana rakha hai.

15. Rone se taqdeer nahin badal te, chup rahne se sawal nahin ruk te, yeh zindagi hain yahan har kisi ko sab kuch nahin milte.

16. Yaad karte hain yaaron ko, yaadon se dil bhar aata hain, kabhi saath jiya karte te sab, aaj milne ko dil taras jaata hai.

17. Tanhai mein vaqt guzara karte hain, hum har din har pal aapko yaad kiya karte hain, hum nahi jaante par aapko maloom hain, ki hum nind me bhi aapka naam liya karte hain.

18. Dosti gunah hai to hone na dena, dosti khuda hain to khone na dena, karte ho dosti jab kisi se to mere yaar kabhi dost ko rone na dena.

19. Kisi dhadke dil ke peeche koi baat hoti hain, hur dard ke peeche kisi ki yaad hoti hain, aapko pata ho, na ho, aapki har khushi ke peeche hamari fariyad hoti hain.

20. Ulfat me kabhi yeh haal hota hain, ankhen hasti hain, magar dil rota hain. Maante hain hum jise manzil apni, humsafar uska koi aur hota hai.

21. Dil ke dard ko dil thodne wala kya jaane, pyar ke riwaz ko e zamaana kya jaane, hoti hain kitni takleef kabar mein, e oopar se phool chadane wala kya jaane.

22. Zindagi mein hamesha haste raho. Hasna zindagi ki zaroorat hain. Zindagi jiyo is andaz mein ki tumhe dekh kar sabko lage zindagi kitni khoobsurat hain.

23. Paani mein paththar na maro, usey koi aur bhi peetha hain, has ke jiya karo aapko dekh ke koi aur bhi jeeta hain.

24. Tanhaiyon mein fariyad to kar sakte hain, viraano ko aabaad to kar sakte hain, kya hua aap se mil nahi sakte lekin aapko yaad to kar sakte hain.

25. Chand par kaali ghata chhati hogi, sitaron ko muskurahat aati hogi, tum laakh chupao duniya se magar akele mein tumhe meri yaad aati hogi.

26. Tum door ho to kya hua, dil mein hain yaad tumhari, yeh dooriyan khud hi mit jaayengi, jab aayegi tumhe yaad hamaari.

27. Talash karoge to koi mil jaayega, par kaun hai jo tumhe meri tarah chahega, dekhta hoga tumhe bhi koi chahat ki nazar se, par woh meri nazar kahan se laayega.

28. Log kehte hain aap jise pyar karte hain, woh chand ka tukda hota hain, lekin hum kehte hain, hum jise pyar karte hain chand usi ka tukda hain.

29. Na chaho kisi ko ke, uski chahat tumhare liye zaroori banjaaye, chaho kisi ko itna ke, tumhari chahat uske liye majboori banjaaye.

30. Bin badal barsaat nahin hoti, suraj doobe bina raat nahin hoti, aye dost kisi ka dil mat todna, dil tootne ki awaaz nahin hoti.

31. Dua mangi thi aashiyane ki… chal padi andhiyan zamaane ki… mera gham koi na samajh paya…kyonke meri aadath thi muskuraane ki.
32. Dil diya aitbar ki hadh thi…jaan de diya mere pyar ki hadh thi…mar kar bhi aankhen khuli reh gayi…aur kuch nahin yeh tere intezar ki hadh thi.

33. Ishq kar deta hai bekharaar…bhar deta hai paththaron ke dil mein pyar..har ek ko nahin milti zindagi ki ye bahaar..kyonki ishq ka dusra naam hai intezar.

34. Anjaane mein koi baat nahin hoti… suraj ke hote raat nahin hoti…Chahte hain hum jinhe jaan se bhi zyaada… chahkar bhi unse mulakaat nahin hoti.

35. Tum to gairon ki baat karte ho… Humne to apnon ko aazmaaya hai. Tum kaanton ki baat karte ho. Humne to phoolon se zakhm khaaya hai.

36. Dil ke rishtey bhi ajeeb hote hain, door rehkar bhi Qareeb hote hain, jo log aapko roz dekhte hain woh log kitne khushnaseeb hote hain.

37. Na koi kisi ke paas hota hai……na koi kisi ke dur hota hai….pyar khud chalkar aata hai jab koi kisi ka naseeb hota hai.

38. Hum raat ki tanhaiyo mein aapko awaaz diya karte hain, aur sitaron se zikar kiya karte hain, aap aaye na aaye, magar hum qwabon me aap ka intezar kiya karte hain.

39. Hume aapse itni mohabbat hain iska koi andaaza nahin, magar kaise dikhaaye dil ka koi darwaaza nahin.

40. Arz kiya hai, suraj bana to badal bane, chand bana to taare bane, kuch to hai baat aap mein, yun hi to nahin hum aapke dewaane bane.

41. Zindagi ek chahat ka silsila hai, koi milgaya to koi bichad gaya. Jinhe maangta duwaon mein, wo kisi aur ko bina maange hi mil gaya.

42. Chaho to dil me se hum ko mita dena, chaho to humko bhula dena, par ye wada karo ke, aaye jo kabhi yaad hamari, rona mat sirf muskura dena.

43. Duwaon ke bheed mein ek dua hamari, jisme maangi humne har khushi tumhari, jab bhi koi dastak sunaayi de dil pe samjho, dua qubool hua hamari.

44. Koshish bahut ki dil ko samjhaane ki, ankhon ko kasam di sojaane ki, bahut samjhaaya phir bhi aankhen nahin soi, soi tab jab maine baat ki aap ke qwaabon me aane ki.

45. Ankhon me basey ho kajal ki tarah, kabhi dard bankar nahin nikalna aansu ki tarah, basey ho mann me yaad ki tarah, kabhi bhula na dena mujhe qwab ki tarah.

46. Phool khilte hain, baharon ka sama hota hai…… aise mousam me hi pyar jawa hota hai……dil ki baatonko hotonse nahin kehate…… ye fasana to nigaahonse bayan hota hai.

47. Logon nei dharti dekhi ambar dekha mousam dekhe aur jeevan bhi dekh liya; Hamari yeh nazarein aur kya dekhen, jisne aapka yeh haseen chehra dekh liya.

48. Agar ek zanjeer mil jaaye to mohabbat se puri duniya bandh lun…Teri ek tasveer mil jaaye to tasveer mei apne khuda ko dekh lun.

49. Likhne chale the shikayat tere naam… Galti se mohabbat naama likh diya… Kehne chale the nafarat ki baat… Galati se mohabbat ka pegaam likh diya.

50. Mohabbat ka dariya nahi mangte hain…Ho sake toh thodi si chahat de de… Maang ka sindhoor nahi mangte hain… Ho sake toh kadamon ki dhuul hi de de.

51. Jab zindagi sajti hai to dulhan si lagti hai… Jab yeh rang badalti hei toe ek bewa si lagti hai…Yeh beraham toh kisi se bhi vafa nahi karti hai… Phir bhi kyon sabko yeh mehbooba si lagti hai.

52. Kuch aansoo jo mere tum na paaye… Zindagi ke saath chalte rah har pal mere saaye… Maine manga tha roshni ka chiraag… Aur andhere mujhe ujalon mein nazar aaye.

53. Chaand kaliyan nishat ki chunkar muddaton mein be-aas rehta hoon……Tumse milna khushi ki baat sahi tumse milkar udaas rehta hoon.

54. Zindagi mein to musafir hoon teri kashti ka…Tu jahan mujhse kahegi mein utar jaoonga…Poochh kar mera pata wakht ko barbaad na kar…Main to banjara hoon na jane kidhar jaoonga.
55. Phool reh jayenge guldano mein yadon ki nazar… Mein to khushboo hoo fizaon mai bikhar jaoonga… Itna toota hoon ki chhune se bikhar jaoonga…Ab agar aur dua doge to mar jaoonga.

56. Khud Hee Ho Jata Hai…Ishq to khud hee ho jaata hai…Dil bhi apna kho jaata hai…Jab aisa ho jaata hai… To dil bekaraar ho jaata hai.

57. Kash dil ki awaaz mein itni asar hojaaye……ki hum aapko yaad kare aur aapko qabar hojaaye……aaj khuda se itni hi dua hai, aap jo bhi chahe wo haqiqat ho jaaye.

58. Hasraton pe rivaajo ka sakt pehraa hai, Na jaane kaun si ummeed pe jaake, yeh dil tehraa hai, Meri aankhon mein se chhalakte hue yeh ashk aur gum ki kasam; Mera yeh pyaar.... Bahot gehraa hai...

59. Husn Pe Jab Masti Chhaati Hai, Shayari Par Bahaar Aati Hai, Pee Ke Mehboob Ke Badan Ki Sharaab, Zindagi Jhoom-jhoom Jaati Hai.

60. Kahani ban ke Jiyen hain woh Dil ke Aashiyane mein… Lagegi humko bhi Sadiyan unhe Bhulane mein.

61. Ek hasi jo hasa de, ek aansu jo rulaa de, ek arzoo jo jaga de, ek chahat jo samaj le, ek aahat jo jaan le, aisi rishtey ka naam hai DOSTI….

62. Tadap ke dekho kisi ki chahat mein, toh pata chale intezar kya hota hai, yun hi mil jaaye jo koi bina chahe, toh kaise pata chale pyar kya hota hai.

63. Dard kaafi hai bekhudi ke liye…… Maut zaroori hai zindagi ke liye… Kaun marta hai kisi ke liye……Hum to zinda hai sirf aapke liye.

64. Ek hi duniya me rehte hai phir bhi mil nahin paate hain…… tumse toh achche tumhaare qwab hai, jo aankh bundh karte hi chale aate hai……

65. Badi muddat se chaha hai tujhe, badi duaon se paaya hai tujhe, tujhe bhulane ki sochu bhi to kaise, kismat ki lakiron se churaya hai tujhe.

66. Kismat se apni sabko shikhayat kyon hoti hai, jo nahin mil sakta usise mohabbat kyon hoti hai, kitne khade hai raahon mein dil ki… phir bhi dil ko usi ki talash kyon hoti hai.

67. Tum milo na milo, milne ka gham nahin, tum paas se guzro jo yeh milne se kam nahin, maana tumhe hamaari zaroorat nahin, unse pooch jinhe hum haasil nahin.

68. Khushi mili has na sake…gham mili to ro na sake…Zindagi ki yahi dastur hai…jise chaha usey pa na sake…aur jise paya usey chah na sake…

69. Dono aankhon mein ashq diya karte hain…hum apne neendein tere naam karte hain…jab bhi aaye hichki tumhe…, samajh lena hum yaad kiya karte hain…

70. Hamein bhool jaana aapki aadat sahi……par hamein bhool paana aapki kismat mein nahin, chaho to aazmaa ke dekh lo, khud ko bhool jaoge par hamein nahin……

71. Har pal tujhse baat karne ki pyas hai……har waqt tujhse milne ki aas hain……na jaane kyon bar bar hota yeh ehsaas hai… ke door hokar bhi tu mere paas hai……

72. Tumhe chahne wale kham na honge……waqt ke saath shaayad hum na honge……Kisi ko kitna bhi pyar dena…par tumhari yaadon ke haqdaar sirf hum hi honge…

73. Haqiqat mohabbat ki judaai hoti hai……kabhi-kabhi pyar mein bewafai hoti hai……Hamari taraf haath badakar dekho…dosti mein kitni sachchai hoti hai…

74. Pee le sharaab har gali har maikhaane se…Ek dosti si ho gayi hai sharaab ke jaam se…guzare hain hum kuch aise mukam se…ke nafrat si ho gayi mohabbat ke naam se…

75. Yaad karne ke liye koyi cheez chahiye…… aap na toh aapki tasveer chahiye……par woh hamara dil behla na sakegi……kyonki who aapki tarah muskura na sakegi……

76. Zindagi tujh bin ulfat si lagti hai……ek pal ki judaai muddat si lagti hai……pehle nahin ab sochte hain…teri har lamha zaroorat si lagti hai……

77. Unki tasveeron ko seene se laga lete hai……is tarah judaai ka gham mita dete hai……kisi tarah kabhi unka zikr ho jaaye…toh bheegi palkon ko chupke se jhuka lete hai…

78. Chiraagon se andhere door ho jaate…toh chand ki chahat kise hoti……kat sakti akeli yeh zindagi…toh ishq naam ki cheez hi kyon hoti……

79. Har dhadkan mein ek raaz hota hai…baat ko bataane ka ek andaaz hota hai……jab tak thokar na lage bewafai ki…har kisi ko apne pyar par naaz hota hai……

80. Nigaahen aapki pehchaan hai hamari…muskurahat aapki shaan hai hamari……rakhna hifazat se tum apne aap ko…kyonki jism hai aapki jaan hai hamari…

81. Dil mein tumhare apni kami chod jaayenge, Aankhon mein aansuon ki nami chod jaayenge, Yaad rakhna, mujhe dhoondte phiroge ek din jab hum yeh zindagi chod jaayenge.

82. Gham mein hasnewalon ko rulaya nahin jaata… Leharon se paani ko hataya nahin jaata, banane wale ban jaate hain apne…kisiko kehkar apna banaya nahin jata……

83. Dil todna hamari aadat nahin…dil hum kisi ka dukhate nahin……bharosa rakhna meri wafaon pe…dil mein basake hum kisi ko bhulate nahin……

84. Chup rahte hain ki koyi khata na ho jaaye…hum se koyi ruswa na ho jaaye……badi mushkil se koyi apna bana hai……mil ne se pehle hi juda na ho jaaye……

85. Waqt to hamein bhula chuka hai…muqaddar bhi na bhula de……ab pyar hum isliye nahin karte…kyon ki darte hain koyi phir se na rula de……

86. Laut jaati hain duniya gham hamara dekhkar…jaise laut jaati lehrein kinara dekhkar……tu kanda na dena mere janaze ko…kahi phir zinda na ho jaoon tere sahara dekhkar……

87. Tum se doori ka ehsaas jab satane laga…tere saat guzara har lamha yaad aane laga……jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki……tu dil ke aur qareeb aane laga……

88. Kitna pyar karte hain hum unse…Kash unko bhi yeh ehsaas ho jaaye……magar aisa na ho ke who hosh mein tab aaye…jab hum kisi aur ka ho jaaye……

89. Na qwabon mein dekha…nazaron mein dekha … hazaaron mein ek aap hi ko dekha……gham dene wale har pal hai yahan…har pal khushi dene wale mein ek aap hi ko dekha……

90. Kabhi teri palkon pe jhilmilaoon main…tu intezar kare aur na aaoon main……beech samundar mein dhoka na dena…to kahe toh kinaron pe doob jaaoon main……

91. Dil to dard ke sagar me doob gaya…magar in aankhon se roya na gaya……kuch zakhm judaai ke aise mile ki …phoolon ke bistar pe bhi soya na gaya……

92. Chandni raaton mein sara jahan sota hai…kisi ki yaad mein badnaseebi rota hai……khuda kisiko kisi par fida na kare…aur kare toh qayamat tak juda na kare……

93. Woh dil kya jo milne ki dua na kare…tujhe bhul kar jiyoon khuda na kare……rahegi teri dosti meri zindagi bankar…ye baat aur hai agar zindagi hi wafa na kare…

94. Kisi ko apna banane mein der lagta hai…wada nibhane mein der lagta hai……Pyar toh pal bhar mein ho jaata hai…lekin usey bhulane mein umar lagta hai…

95. Dil ki hasrat zuba par aane lagi…unhe dekha aur zindagi muskurane lagi……Yeh ishq ki inteha thi ya meri dewangi…har surat mein surat unki nazar aane lagi…

96. Fiza mein mehakti sham ho tum…pyar mein jalakta jaam ho tum……tumhe dil mein chupaye phirte hain…meri zindagi ka doosra naam ho tum…

97. Kalam uthaya hai par lafz nahin milta…jisko dhoond rahe hai voh shaks nahin milta……phirte hain voh zamane ki talaash mein…bas hamare liye unhe waqt nahin milta…

98. Jin ki yaad mein hum dewaane ho gaye…voh hum hi se begaane ho gaye……shaayad unhe talaash hai ab kisi aur ki…kyonki unki nazar mein ab hum purane ho gaye…

99. Teri khushi se nahin gham se bhi rishta hai mera…yeh jo teri zindagi hai voh ek hissa hai mera…tujhse lafzon ka nahin ruh ka rishta hai mera…

100. Nazar andaaz kaise kare aap ko…nazaron mein bithaya hai aap ko……Yaad aane par aapki roye bhi to kaise…darrte hain jhuki jo palke to chubhengi aapko …

101. Sirf yaadon ka silsila reh gaya…khuda jaane unse hamara kya rishta reh gaya…ek chand chup gaya jaane kahan…ek sitara usey dhoondta reh gaya…

102. Pyar ki ek khamosh si murat ho tum…kaise kahoon kitne khoobsurat ho tum……zamane ke liye kya ho main nahin jaanta…meri har saans ki zaroorat ho tum…

103. Nadiyon se kinare chu toh jaate hain…aasmaan se taare toot jaate hain……zindagi ki raah mein aksar aisa hota hai…jinhe hum dil se chahte hain wohi hum se door jaate hain…

104. Dard mein voh bhi hain…dard mein hum bhi hain… voh aansu pee rahe hai…hum aansu ko hasee mein rok rahi hai…fark itna hai…voh zamane ko dikhate hai…hum khud se bhi chupate hain…

105. Reth pe naam kabhi likhte nahin…reth pe likhe naam kabhi tikte nahin……tum ne humei paththar dil toh keh diya…par paththar par likhe naam kabhi mit’the nahin…

106. Door hote huve bhi pyar ka rishta nibhate hain aap… Na jaane kyon dil ko lubhate hain aap……Yen kaisa karishma hai aap ka…jo hum ko itna yaad aati hai aap…

107. Yaadon mein hamari voh bhi khoye honge…khuli aankhon se kabhi voh bhi soye honge…… maana hasna ada hai gham chupane ki…par haste-haste kabhi voh bhi roye honge…

108. Aapko dekhkar yeh nigaah jhuk jaayegi…khamoshi ab har baat keh jaayegi……pad lijiye in aankhon mein apni mohabbat ko…aapki kasam saari qayamat wahin ruk jaayegi…

109. Palkon ke kinare jo humne bhigoye hi nahin…voh sochte hain hum roye hi
nahin…voh poochte hain qwabon mein kise dekhte ho…hum hai ek umar se soye hi nahin…
110. Khushiya to har koyi chahte hai…gham chahta hai koyi koyi…tukra to sabhi dete hai apnata hai koyi koyi… pyar to sabhi kar lete hain…par nibhata hai koyi koyi…

111. Kayi raaz aise hote hai jo kaha nahin jaate…kayi dil aise hote hai jo tode nahin jaate… aur kuch aap jaise dost aise hote hai jo chodei nahin jaate…

112. Dil dil se juda nahin hote…yuhin kisi par fida nahin hote…pyar se bada toh pyar ka rishta hai… kyonki pyar kabhi bewafa nahin hote…

113. Jab bhi aapse milne ki taqdeer nazar aayi…Mujhe paon mein baandhi zanjeer nazar aayi…teri yaad mein nikal padein mere aansu……har aansu mein teri tasveer nazar aayi…

114. Tamam umar zindagi se door rahe…teri khushi ke liye tujhse door rahe…Ab isse badkar wafa ki saza kya hogi… ki tere hokar bhi tujhse door rahe…

115. Meri chahat mein kami kuch bhi na thi…jaane kyon tu begaana ho gaya…tujhe kya lagta hai ki main khush hoon… Mujhe hansey to ek zamana ho gaya.

116. Maana yeh waqt hamei yaad karnewala nahin… Par bewaqt hi yaad kar liya karo… maana aapke aaspaas saari duniya hai… kabhi hamari kami ka bhi ehsaas kar liya karo.

117. Teri dosti mein ek nasha hai… tabhi toh yeh duniya humse kafaa hai… na karo humse itni dosti… ki dil hi pooche teri dhadkan kahaan hai…

118. Mushkilon se gabhraake ab jina nahin chahta… door aapse hoke rehna nahin chahta… yun toh bahut dhuk mile zindagi mein par aap jaisa yaar khona nahin chahta…

119. Tanhai mein har waqt dil udas hota hai… toote huve qwabon ke siva kuch na paas hota hai… yaad aise waqt unki sataati hai… jab akele hone ka ehsaas hota hai…

120. Tumhari yaadon ko rok pana hai mushkil… rote huve dil ko manana hai mushkil… yeh dil aapko kitna yaad karte hai… yeh lafzon se bayaan karna hai mushkil…

121. Rishton ki yeh duniya hai nirali… sab rishton se pyari hai dosti… Manzoor hai aansu bhi aankhon mein hamare… agar aa jaaye muskan hoton pe tumhaare…

122. Khuda ki banayi khudrat nahin dekhi… dilon mein chupi daulat nahin dekhi… jo bhi kehta hai ki dooriyon se mit jaati hai dosti… unhone shaayad hamari dosti nahin dekhi…

123. Kuch rishte anjaane mein ho jaate hain… pehle dil phir zindagi se jud jaate hain… kehte hai us daur ko dosti… jisme dil se dil na jaane kab mil jaate hai…

124. Suraj ke kiran roshni de aapko… gulab ke phool har khushi de aapko… hum toh kuch dene ke kaabil nahin… par denewala har khushiyan de aapko…

125. Sirf chahne se koi baat nahin hoti… suraj ki saamne kabhi raat nahin hoti… humne bhi kiya hai kisi ko jaan se bhi zyada pyar… woh saamne hai phir bhi baat nahin hoti.

126. Dooriyan se farq padtha nahin… baat toh dilon ki nazdikiyon se hoti hai… dosti toh kuch khaas aap jaise se hai verna… mulaaqaat na jaane kitno se hoti hai…

127. Jaam se kabhi itni nafrat na karo ki pina chaho to kabhi pi na sako… kisi ko bhi itna pyar na karo ki bichad kar jina chaho to ji na sako…

128. Yaad karte hai tumhe tanhai mein…basaya hai tumhe dil ki gehrai mein…… Mat dhoondo mujhe duniya ke bhid mein… hum milenge tumhe apni hi parchai mein…

129. Din ke saath raat nahin hoti, sitaron se dil ki baat nahin hoti… jin doston ko chahte hai hum, khuda jaane, unse kyon roz mulaqat nahin hoti…

130. Jinki yaad mein hum dewaane hogaye, woh hum hi se begaane ho gaye… shayad unhe talash hai ab naye dost ki, kyonki unki nazar mein ab hum purane ho gaye……

131. Bagair jaane pehchaane ikraar na kijiye… Muskurakar dil ko beqarar na kijiye… Gulab bhi de jaate hai zakham gehra kabhi kabhi… Har gulab par yun aitbar na kijiye…

132. Tumse doori ka ehsaas jab sataane laga… tere saath guzara har lamha yaad aane laga… Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki… tu dil ke aur qareeb aane laga…

133. Kuch fitrat hi aisi hui… ki pyar se jeene ki aadat na hui… Jinhe chaha who mil na sake… aur jo mile unse mohabbat na hui…

134. Ek lamhe mein unhone hamaari zindagi savaar di…. Ek lamhe mein unhone hamaari zindagi ujaad di… qasoor hamaara tha jo un do lamhon mein humne zindagi guzaar di….

135. Log milte hain… bichad jaate hain… sirf dil ke taar ched jaate hain… yun toh lete hai hum hazaaro naam par kuch aap jaise dost dil mein utar jaate hain…

136. Yaad aayi mujhe jab aapki… dil ne mehsus ki kami aapki… yeh aarzoo nahin ki kisiko bhulaaye hum… bas itna kaafi hai kisiko yaad aaye hum…

137. Silsile toh yun hi chalte rahenge… Faasle hai badalte rahenge… Aap kyon nahin samjhe hamaari baat ko… Aap ke bina toh hum pal pal marte rahenge…

138. Hum haste hai toh log samajhte hain humein aadat hai muskuraane ki… magar voh yeh nahin jaante hai ki yeh bhi ek ada hai gham chupane ki…

139. Tanhai mein akelapan saha jayega… par mehfil mein akela raha nahin jayega… unka saath na ho phir bhi jiya jayega… par unke saath koi aur ho yeh saha nahin jayega…

140. Rone se gham e dil ka guzara nahin hota… har shaks dil ka sahara nahin hota… us roz lagta hai bekar jiye hum… jis roz kabhi zikr tumhara nahi hota……

141. Humne bhi kisi se pyar kiya tha… raahon mein khade hokar intezar kiya tha… kasoor unka nahin hamara tha… jo humne hi ek bewafa se pyar kiya tha……

142. Har khamoshi ka matlab inkar nahin hota… har nakamyabi ka matlab haar nahin hota… kya hua agar hum unko pa na sake… sifr paane ka matlab hi toh pyar nahin hota……

143. Khuda se humne ek dua maangi… dua mein apni maut maangi, par khuda ne kaha maut to tujhe de doon par usko kya kahoon jisne teri lambi umar maangi……

144. Wafa ke naam se ghabraate hain…. Jidhar dekho gham hi gham nazar aate hain…. Dil ka dard aansu bankar na nikal jaaye…. Isliye hum har waqt muskurate hain….

145. Dil ka rishta hai hamara.. dil ki har kone mein hain naam tumhaara… har yaad mein hai chehra tumhara…. Paas nahin to kya hua… zindagi bhar saath nibhaane ka wada hamara…
146. Unhe aadat hai zakhm dene ki…. Apni to fitrat hai gham chupane ki…. Ab to aadat si pad gayi hain aansu pi jaane ki…. Kya haseen saza di hai zaalim ne dil lagaane ki…

147. Jawani ko zindagi ka nikhar kehte hai… patjhad ko chaman ka manjdhar kehte hain…. Ajeeb chalan hai duniya ka yaaron…. Ek dhoka hai jisko sab pyar kehte hain…

148. Sehami si nigahon mein khwab hum jaga denge…. Sooni si rahon mein phool hum bicha denge…. Hamaare sang muskuraane ka wada toh kijiye…. Hum aapka har gham bhula denge…

149. Palkon mein qaid kuch sapne hai…. Kuch begaane hai, kuch apne hai…. Na jaane kya kashish hai in khayalon mein…. Voh gair hoke bhi kitne apne hai….
150. Phoolon se bhi kya dosti karni….kuch pal baad murjha jaate hain Dosti karo toh kaanton se…. chubne ke baad bhi yaad aate hain.

151. Voh ruthe is kadar ki manaya na gaya…. Door itne ho gaye ki paas bulaya na gaya…. Dil toh dil tha samundar ka reth nahin…. Likh diya jo uska naam toh phir mitaaya na gaya…

152. Khudrat ke karishmon mein agar raat na hoti…. Toh khwabon mein unse mulaqat na hoti…. Yeh dil har gham ki vajah hai…. Dil hi na hota toh koi baat na hoti……

153. Nazar andaaz kaise kare aapko…. Nazaron mein bithaya hai aapko…. Yaad aane par aapki roye bhi toh kaise…. Darte hai, jhuki jo palke toh chubengi aapko……

154. Chale aaon hum tumhe yaad karte hain…. Yeh voh guna hai jo hum baar baar karte hain…. Jala ke dil mein hasraton ke chiraag…. Aapke aane ka intezar karte hain……

155. Chot khaakar bhi zakhm chupaya humne…. Zehar peekar bhi mooh na banaya humne…. Na jaane aaj tum itna kyon yaad aaye…. Ki naam likhkar baar baar mitaaya humne……

156. Kitni jaldi yeh mulaqat guzar jaati hain…. Pyas bhujhti nahin barsaat guzar jaate hain…. Apni yaadon se keh do is tarah na aaya kare…. Neend aati nahi aur raat guzar jaati hai……

157. Waqt ke is mod pe yeh kaisa waqt aaya hai…. Zakhm is dil ka zabaan pe aaya hai…. Nahin rote te hum kaanton ki chuban se…. aaj phoolon ki chuban ne humko rulaya hai……

158. Maine to ek dard bhara sher likh diya, Jasbaaton ko khule aangan main chod diya. Shayari to hamesha karte the... aaj kalam ke jariye unko kagaj par utaar diya

159. Shayar ko shayari ke liye kisi Mugal-e- Aazam ki zarurat nahi padti... Humne unka rasta kabka chod diya..us rah par ab nigahen nahi mudti....

160. Jaane kyon Duniya ruthi hai humse? Kya pata kya bhul ho gayi? is ruthne manane ke chakkar main aadhi umar beet gayi....

161. Kisi ki yaad mein rona fizul hai Aansoo bade anmol hai inhe bahana fizul hai, Roya to unke liye jo tum par nisar hain unke liya kya rona jinke aashiq hazaar hain

162. Apne hisse ki zindagi to hum ji chuke...Aab to bus dhadkano ka lihas kirtein hai...Kya kahen ye duniya walon ko jo... Aakhri saas par bhi aitraz kartein hai.

163. Dost dost nahin khuda hota hai, mehsoos tab hota hai jab na juda hota hai, bina dost ke jeena ek saza hai, aur dost tum jaise ho to jeevan ek maza hai.

164. Dillagi doston ke naam hoti hai, dildaari doston ki shaan hoti hai, kahi bhi raho par rahoge dil mein, ..mere yahi sachchi dosti ki pehchaan hoti hai.

165. Dosti bhi dil se shuru hoti hai……aur pyaar bhi dil se shuru hota hai……Magar jab dono khatm hone ko hon……Toh nuksaan sirf dil ka hi hota hai..

166. Duniya Se Jo Dare, Usey Kayar Kehte Hain, Duniya Jisse Dare, Usey Shayar Kehte Hain, Biwi Se Jo Dare, Usey Shohar Kehte Hain.

167. Aur bhi bahut si cheeze lut chu-ki hai dil ke saath, Ye bataya dosto ne ishq farmane ke baad Is liye kamray ki ek ek cheez doondta karta hoon main "Ek tere aane se pehle, ek tere jaa-ne ke baad"

168. Kaun Rakh ta hai Yaad Naamon Ko, Log Cheharon Ko Bhool Jaate hain, !! Tum Samunder Kee Baat Karti Ho… Log Ankhon Mein Doob Jaate Hain ..!! "

169. Dekh Lo Aawaaz De Kar.....Paas Apney Paoge!!.......Aoge Tanha Magar..!! Tanha Nahin Tum Jaoge.........!!!!! Dekha tha jise maine, Koi aur thaa shayad, Voh kaun hai jis se, teri surat nahin milti !!!

170. Kyun mere pyar ka tum imtehan lete ho… tum meri jaan ho kyun meri jaan lete ho… Tum pe hamein yakein hain, Maut pe aitbaar, Dekhte hain kaun pehle aata hain, Donon ka intezar !!

171. Unke ishq mein mar mitne ko betaab ye dil ho jaata hai……phir bhi aur hassinaon ko dekh dil baag baag ho jaata hai……Deikh kar tumko yakeen hota hai ,koi itna bhee haseen hota hai…..deikh pate hain kahan hum tumko ,dil kaheen hosh kaheen hota hai.

172. Dil ki awaaz ko izhaar kehte hain… jhuki nigah ko ikraar kehte hain… sirf pane ka naam nahin… kuch khone ko bhi pyar kehte hain…

173. Hum nazaron se door hai ankhon se nahin… hum qwabon se door hai khayalon se nahin… hum dil se door hai dhadkan se nahin… hum aapse door hai appki yaadon se nahin…
174. Har waqt muskurana fitrat hai hamari… Aap yuhin khush rahen hasrat hai hamari… Aapko hum yaad aayen ya na aayen… aapko yaad karna aadat hai hamari…
175. Yaadon se mann bharta nahin, mann se yaaden nikalti nahin… Yeh kaisi majboori hai, ke aapko yaad kiye bina chain milta nahin…

176. Guzare hue kal ki yaad aati hai… kuch lamhon se aankhen bhar aati hai… voh subah rangeen voh shaam niraali doob jaati hai… Jab teri yaad aati hai…

177. Tanha khud ko kabhi hone mat dena… apnon ko kabhi rone mat dena… aap bahut khaas hai hamare liye… is khayal ko apne se kabhi juda hone mat dena…

178. Zindagi udaas hone ka naam nahin… dosti sirf paas hone ka naam nahin… agar tum door rehkar bhi hame yaad kare… is se bada hamare liye koyi inaam nahin…

179. Dosti kabhi amaanat nahin hoti aur yeh kisi ki bhi mohutaj nahin hoti… hum se dosti zara sambhal ke karna… hamari dosti ki qaid me zamanat nahin hoti…

180. Sabko pyar dene ki aadat hai humein… apni alag pehchan banane ki aadat hai humein… kitna bhi gehra zakhm de koi… utna hi zyada muskuraane ki aadat hai humein……

181. Hamari toh dua hai koi gila nahin… voh gulab jo aaj tak khila nahin… Zindagi mein aapko voh sab mile…. Jo duniya mein aaj tak kisi ko mila nahin……

182. Kisiko mohabbat ki ruswaai ne maara… Kisiko mohabbat ki bewafai ne maara… Bach na saka koi mohabbat karke… jo bacha usey mohabbat ki tanhaii ne maara……
183. Jab is duniya mein jeene ki tamanna aayi toh mujhe teri yaada aaye… bas yahi dua hai rab se… baaki ka umar jo hai voh tere saath beethe jaaye……

184. Mujhe dard-e-ishq ka maza maloom hai… Dard-e-dil ki inteha maloom hai… Zindagi bhar muskuraane ki dua na dena… Mujhe pal bhar muskuraane ki saza maloom hai…
185. Zindagi zakhmon se bhari hai… Waqt ko marham banana seekh lo… haarna toh hai hi maut ke saamne… filhaal zindagi se jeetna seekh lo……

186. Logo ne sharab mehkhane ja ja kar pee hai… jo do pal mein utar jayegi… humne to pee hai apne mehboob ki aankho se… jo umar bhar naa utar payegi..….

187. Woh khud hi ho ruswa khudi maan jaye… Jo main rooth jaon to mujh ko manaye…
Mere paas aaye zara muskaraye… Jo main ro padoon to woh aansoo bahaye……

188. iss kadar chaha hai tujhe humne… tere siwa aur kuch ab nazar aata nahi… ek tere hi jalwe rehte hai ankhon mein… kuch aur meri nigaahon ko ab aata nahi……

189. saleeqa hi nahin shayad use mehsus karneka… jo kehta hai khuda hai toh nazar aana zaruri hai… jo dil mein hai usse ankho se kehlana zaruri hai… mohabbat na samajh hoti hai ... samjhana zaruri hai.

190. Hume Bhi Pyar Karne Ka Khayal Aaya… Jab Bhi Yeh Khayal Aya Khud Ko Akela Paya…

Doondte Rahe Is Duniya Main Humsafar… Kisi Ko Dhoke Baaz, Kisi Ko Bewafa Hi Paya.
191. pyar karnay ka koi saleeqa nahi hota! wafa nibhane ka koi tareeqa nahi hota!
pyar to woh hai jo ankhon say dil main utre! ehsas dilaye pyar ka koi kise, aisa nahi hota! jo raz-e-dil kehna ho kabhi sanam se! khat hi likha jaye, yeh zaruri nahi hota!

192. Meri deewangi ko galat na samajhna, maine chaha hai tumhe hadh se badhkar,
meri zindagi se kabhi dur na jaana, maine paya hai tumhe kismat ki lakeeron se ladhkar...

193. Aye Allah aaj yeh faisla kar de… Use mera ya mujhe uska kar de… Bahut dukh sahe hain maine zindagi mein… Koi khushi ab mera muqaddar kar de… Nahin naseeb main agar uska milna… Khatm karde ye zindagi, mujhe fana kar de !!!

194. Kaun kehta hai wo mujh se juda hai… Har pal woh meri palkon mein rehti hai… Meri har saans main khusboo hai uski Dil ki dhadkan bhi yehi kehti hai…

195. Ho sakta hai ki aaj unhe mere dosti ki zarurat nahi, par mujhe lagta hai ki usko dosti ka ehsaas tab hota hai, jab uski dost zindagi se bahut dur chala jata hai... aur beetein hue lamho ki kuch haseen yaadein chod jata hai.."

196. Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine, teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine, jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi, apne maathe ki woh tehreer mita li meine,

197. Chale bhi aao ki hum tumse pyar karte hain… Yeh woh gunah hai jo hum bar bar karte hain… Log maut tak hi dilbar ki raah takte hain, Hum hai ki kabar mein tera intezaar karte hain.

198. iss kadar chaha hai tujhe humney… tere siwa aur kuch ab nazar aata nahi… ik tere hi jalwe rehte hai ankhoon mein… kuch aur meri nigaahoon ko ab bhata nahi…

199. Nafraton ki kitab pad ke mohabbaton ka paigam likhna… Bahut mushkil hai khizaan ke maathe par dastan-e-ghulab likhna……

200. Sanaja sab the mere janaze ke peeche… bas ek voh hi nahin thi mere janaze ke peeche… aur hoga bhi kaise yaaron… kyonki mere janaza hi tha uske janaze ke peeche……

No comments:

Post a Comment