Tuesday, June 23, 2009

Shayari's - Collected From Everywhere

Sitam karo ya karam karo hum gila nahi karte,
yaqinan khizaan mein phool khila nahi karte…
mila do khak mein hum ko magar yaad rakhna…
hum jaise dost phir mila nahi karte……

Mohabbat ko log gham samajhte hain,
Par mohabbat kya hai woh hum samajhte hain,
Kuch log ruswa karte hain mohabbat ko,
Magar haqiqat kya hai woh to sirf hum samajhte hain.

kahe na kahe woh mohabbat rahegi,
dil ko unse milne ki chahat rahegi,
woh kya jane kitna marte hai unpar,
hamari rooh ko bhi unki aadat rahegi

Ik roz ashqon ki mehfil mein hume bulaya gaya,
bade pyar se wahan hume baithaya gaya,
har wo ashq jo hum unki yaad mein baha dete the,
hume wahan un ashqon ki keemat ko bataya gaya....

Ek waada toda maine
mana ho gai khata
bewajah ye baat nahi hai
tha nahi main aisa bewafa.

jise pyar kiya ho zindagi mein use bhulaya nahi jata,
dard is dil har kisi ko dikhaya nahi jata,
samajh jaate hain wo jise dard mile pyar mein,
har kisi ko ye dard samjhaya nahi jata.....

dard e judai buhat mushikal hai sehna dost
aab dil ki yeh baat kis kis s kehan dost

DIL KI BAATEIN MEIN CHAND SE KEHTI HOON,
HAR APNA DUKH JO MEIN MUSHKIL SE SEHTI HOON,
JAB BHI USSE USS SHEESHE LAGI TASVEER MEIN DEKHU,
TO LAGTA HAI JAISE MEIN USKE ANDAR HE REHTI
HOON.....

har ashq gur samandar mein mil jaaye,
to ashqon ka pata nahi chal pata hai,
har koi iss samandar mein doob kar,
unn ashqon ke seene mein doobta chala jaata hai....

Ashq Jo Aah Bahe Hain Meri Aankh S Koi Dekh na Paya
Jo Pyar Chupa Hai us K liye Mere dil Mein Koi Dekh Na Paya

juban ashkon ki kuch keh rahi hai
jiya nahi jata tere bina yeh keh rahi hai
kaise bitaye ye pal hasin mousam ke
honth hai kamosh par aankhen beh rahi hai








Na jane woh tera khayaal tha ya koi khwab tha
tu dil ke kareeb thaa aur mera pal-pal lajawab tha
baithe the mere pehlu mein tum kuch is tarah se
meri sanso me teri khushboo teri ankhon me sharaab tha
Ye aarzoo thee dil me tumhe nazar bhar ke dekhate
par aankho mein sharmo haya ka parda behisaab thaa
thaa naya naya woh ishq apna woh ruthana aur manana
meri har ada khubsoorat tera har karam naayaab thaa.
pighala thaa har lamha mera bas tere hi justzoo mein
tere wazood se thi meri zindagi tere wagair mera duniya kharaab thaa.
har pal dil tere pyaar ki chandani mein dooba raha
Tum hi the mere pyaar ki zameen aur tu hi aaftaab thaa.

Surkh Aankhon Mein Kajal Laga Hai, Rukh Pe Gazaa Lagaye Hue Hain,..
Aise Aaye Hain Mayyat Pe Meri, Jaise Shaadi Mein Aaye Hue Hain,..
Aye Lehat Apni Mitti Se Keh de, Daag Lagne Na Paaye Kafan Ko,..
Aaj Hi Humne Badle Hain Kapde, Aaj Hi Hum Nahaaye Hue Hain,..

Bikhri Zulfein Pareshaan Chehra, Ashq Aankhon Mein Aaye Hue Hain..
Aye Ajal Tehar Jaa Chand Lamhe, Wo Ayadat Ko Aaye Hue Hain.
Dushmano Ki Shikayat Hai Baakhi, Doston Se Gila Kya Kareinge,..
Jhar Juke Jin Darrakhton Ke Patte, Phir Kahan Unke Saaye Hue Hain,..

Kya Hai Anjaam-e-Ulfat Patangon, Jaake Shama Ke Nazdeek Dekho,..
Kuch Patango Ke Laashein Padi Hai, Par Kisi Ke Jalaaye Hue Hain,..

Katal Ke Waqt Sab Doston Ne, Ye Chukaya Mohabbat Ka Badla,
Daal Di Khaakh Mere Badan Par, Ye Na Socha Nahaye Hue Hain,
Unki Tareef Kya Poochte Ho, Umar Saari Gunaho Mein Guzri,
Farsa Ban Rahe Hain Wo Aise, Jaise Ganga Nahaye Hue Hain.

Samajhkar Jise Humraaz, Maine Dil Ka Haal Sunaya,..
De Gaya Wohi Dagaa Mujhe, Mera Haal Jaan ne Ke Baad,..
Sach Kehte The Log Ke Mohabbat Char Din Ki Bahaar Hai,.
Ab Kali Ki Hasrat Main Kya Karoon, Chaman Lootaane Ke Baad,..

Sitam Zamaane ke Pal Pal Mujhpar Bardte Gaye,..
Ro Rahe Hain Dekho Sab Mujhe Azmaane Ke Baad,..
Ek Main Hoon Jo Gham Sehkar Bhi Muskura Raha Hoon,..
Log To Toot Jaate Hain Thokaren Khane Ke Baad,..

Aaj Bhi Teri Raah Ko Roshan Karta Hai Ghar Mera,
Jo Kabhi Ban Gaya Raakh Tere Jalane Ke Baad,
Tere kadmo Ki Dhool Ko Bhi Maine Chahat Ki Nishani Samjha,
Aur Tum Rote Ho Kyun, Hamari Hasti Mitaane Ke Baad.

Jahan ke Sataye Hue Hain Hum, Kabar Mein Kahin Rahat Mile,..
Farishton Na Cherdo Hume, Warna Ro Padoge Mujhe Sataane Ke Baad,..





Kehte The Jo Hume Zindagi Apni Hume "Jaanasheen",..
Baith Rahe Hain Dekho Ab Wo Doli Mein Mujhe Dafnaane Ke Baad,..
Meri Barbaadion Par Na Manao Is Kadar Jashan Yaaron,..
Ke Maine Paayi Hai Rahat Ab, Sadiaan Gumnaami Mein Bitaane Ke Baad,..

Barbaadion Ka Sabab Ban Gayi Ye Mohabbat Uski,..
Pehla Milaa Karti Thi Jiske Dum Se Rahaatein Mujhe,..
Teri Bewafaai Ka Aashiqi Ka Matam Hai,..
Zindagi Ki Raahon Mein Zindagi Ka Matam Hai,..

Mujhko Dass Gaye Dekho Saamp Aastino Ke,..
Dushmano Ka Shikwa Kya Dosti Ka Matam Hai,..
Ro Rahe Hain Dushman Bhi Aaj Meri Mayyat Par,..
Aake Dekh le Teri Berukhi Ka Matam Hai,..

Hogayi Khataa Humse Tumko Toot Kar Chaha,..
Jo Hume Na Raas Aayi Us Khushi Ka Matam Hai,..
Kal Ujaale Baante The Humne Saari Duniya Ko,..
Aaj Khud Mere Ghar Mein Roshni Ka Matam Hai,..

Dil Ke Tukde Tum Zaleem Chun Ke Bharlo Daman Mein,..
Pooche Koi Keh Dena Dillagi Ka Matam Hai,..
Tu Rehne Waali Mehlon Ki Main Ek Tasweer Gurbat Ki,..
Tere Nazron Mein Kya Hogi Kadar Meri Mohabbat Ki,..

Rishte Tord Do Tum Saare Mera Dil Mujhko De Do Tum,..
Mohabbat Aapki Duniya Mein Hai Mandi Tijaarat Ki,.
Main Tere Sheher Se Bhi Tord Doonga Apna Har Rishta,..
Ke Maine Dekhli Zaleem Haddein Teri Sharafat Ki,..

Jahan Phoolon Mein Bhi Milti Hai Khushboo Bewafaai Ki,..
Khadi Dekhi Hai Raahon Mein Deewaarein Maine Nafrat Ki,..
Main Sehraaon Mein Lekar Aagaya Hoon Zindagi Apni,..
Suni Hai Dukh Bhari Jabse Kahaani Maine Mohabbat Ki,..

Woh kehte the ki hum apne pyaar ka iqarar na karnenge
Iqarar kar liya toh izhaar na karnenge....................
Per dil ki baat woh apne hotho pe aane se rok na paaye woh
Keh diya haale dil apna aur rahe fir hamse aankhe chuaraye woh

mere dil ko bhi unka yeh andaz bhaa gaya ....
ek shola sa dekha mere dil mein bhi yeh dekh ke
aur mujhe bhi unke iqarar per pyaar aa hi gaya

ek khat mere pass hai kuch unkaha sa
jis per unke mehekte hotho ke nishaan hain
chhaa raah hai mere dil woh aise
is dil mein kai machalte se armaan hain





woh chori se usaka owh ankhiya milana
mere dil ke geeto se kab anjaan hain
hai uski ghazalo mein meri hi koi baat
yeh geet aaj tabhi dil ki dhkanao ka maan hain

ek chamkata hua sa sitaara hai koi mera dil aaj
woh mere raha ke humsafar aur manzilo ka nishaan hain!!
_________________

Jo jazbaat pesh kiye tumne apne hothon se,
Sun na chahoon mein baar baar use,
Andaaz-e-dhadkan bhi badal badal si gayi
Aaye ho tum is dil mein jab se,
Dhunn lagi hai bus tumko paane ki,
Maan liya hai tumhe sabkuch apne tann mann se...

Mujhe sharaab mat pila aye dost
Kan hi tere paymane na ho jaye khali
Hidayaat se hum bhi pare hain
Ki teri ruksad par yunhi meri jindagi saja doon

Mang bhi lete jaan agar tum yeh badi asaan hoti
Tumne kya jindegi mang li apni judaai se
Agar Ruksaat hoti ho meri jindegi se tum
Yadoo ko apne gerebaan mein samet lo zara

Teri har kaatil ada ko
Hum tahe dil se wafa kah gaye
Mujhe aashiq kahene wale log
Mehfil mein bewafa kah gaye

Taklif aap yeh bhi de gaye aaj
baki bache yaad bhi le gaye aaj
Purani yaad aur purani gum bhi lajawaab hain
sahi mano agar yeh yaaron yeh sharaab hain

Khubsoorat si hawa chal jaati hai
jab teri surat saamne aati hai
ye aankhen khud-b-khud jhuk jaati hain
jab teri aankhen meri aankhon se takraati hain

Jane kese be-khabar se
Ishq ke dar pey gaye
Hum muskurake rahe gaye
Vo dil churake ley gaye

Ye deewane bhi bade ajeeb hote hai
muskurake dil chura lete hai
jab baari aati hai wafa nibhane ki humse
to haske janaab muh mod lete hai



Deewano ka kya kasoor
yeh the mausam hi aisa bana
Hum tumhe chahne lage
aur tumse bhi na kehte na bana


hum to chaney lagey they unko
mager unhone chaha kisi aur ko,
dil to kambhakhat manta hi nahi,
key unhone chaha kisi aur ko.

Na jee bhar ke dekhaa na kuch baat ki,
badi aarzoo thi mulaqaat ki,
Kaye saal se kuch Khabar hi nahin,
kahaan din guzaaraa kahaan raat di,
Main chup thi tou chalti hawa ruk gayi,
zubaan sab samajhte hain jazbaat ki,
Sitaaron ko shaayad khabar hi nahin,
musaafir ne jaane kahaan raat ki

Hamare saamne mehfil mai aaye baithe hai,
Apne haathon mai hamara dil dabaye baithe hai.
Jab humne poocha haathon mai kya hai,
To bahana bana diya mehandi lagaye baithe hai...

Ek toh yeh husn tera, usper angadaiyan teri,
Kyun na dhadke yeh dil mera, kyun na Dagmagaye
niyat meri!

na chaho tum usse is tarah
ke rah na sako uske siwa

dekh kar jeete ho jisko
ke sah na sakoge judaai uski

saanso mai na bassao usko
ke mushlkil na hojaye jeena kahin

karo mohabbat tum is tarha
ke maut ho ussi pal ho jo judai kabhi.

Palkon ko utha kar jo tu dekh le,
Mai ke do pyale hum pi toh le,
Fir chahe jitana sitam dhale,
Uff na karenge chahe tu jaan bhi le le!








khaber na thi mujhko key tum hi mujh sey damen
apna chuda logey
jo keya they vadey sath milker tum hi ek pal mey
sab bhula dugey
un palo ko mey bhlaow keysey
teyri her ek yaad ko mey chupaow keysey
meyri chahat ko tum meta na paogey
ju ahey kabhi yaad meyri to khudh ko bhul
jaogey....

Aansoo main na dhondna humhein.
Hum dil main bass jayege.
Tamana na ho agar milne ki.
To bhand aankhon main nazar ayeege.

Lamla lamla waqt guzar jayega.
Chand lamho main daman choot jayega.
Aaj waqt mila hai do baate karlo humse.
Kal kya pata koun appki zindagi main ajayega.

Pass akar sabhi door jate hai.
Hum akele the akele reh jayege.
Dil ka dard kisse dekhai.
Marhum lagane wala zakham de jata hai.

Waqt to humhein bhula chuka hai.
Muqaddar bhula na de.
Dosti dil se hum is liye nahin karte.
Kyun ke darte hai koi phir se na rula de.

Zindagi main humesha naye log milege.
Kahiin zeyaada to kahiin kaam milege.
Eitebar zara soch ke karna.
Mumkin nahin har jaga tumhein hum milege.

Khusboo ki tarah apke pass bikar jayege.
Sukoon ban kar dil main utar jayege.
Mehsos karne ki khoshish to kijiye.
Door hote hue bhi hum pass nazar ayege.

Tum Mujh Mein Ho, Mein Tujh Mein Hoon.
Tum Mujh Mein Ho, Mein Tujh Mein Hoon.
Aur Tumhare Khwabo Mein, Meri Yaade Hain.
Aur Meri Yaado Mein Tumhara Chehra Hai.
Tumhara Chehra To Khoobsurat Hai.
Khoobsurat Hai Tumhara Chehra.
Tumhare Chehre Ke Aage To Koi Kuch Bhi Nahi.
Koi Kuch Bhi Nahi Tumhare Chehre Ke Aage.
Yeh To Sirf Inteha Ki Baate Hain.
Tumhare Nazro Mein Mujhe Chamak Dikhai Deti Hai.
Ab Tumhari Nazro Mein Mera Chehra Hai.


Tum Mujh Mein Ho, Mein Tujh Mein Hoon.
Tum Mujh Mein Ho, Mein Tujh Mein Hoon.

Tumko Dhoond Rahe Hain Yeh Sare Sitare.
Tumko Dhoond Rahe Hain Yeh Sare Sitare.

Dhoop Bhi Tumhe Dekh Kar Muskurati Hai.
Dhoop Bhi Tumhe Dekh Kar Muskurati Hai.

Baarish Tumhare Jism Par Girkar Lehrati Hai.
Baarish Tumhare Jism Par Girkar Lehrati Hai.

Badal Bhi Saaya Ki Tarha Tumhara Peecha Karta Hai.

Badal Bhi Saaya Ki Tarha Tumhara Peecha Karta Hai.


Tum Mujh Mein Ho, Mein Tujh Mein Hoon.
Tum Mujh Mein Ho, Mein Tujh Mein Hoon.


Hasti aaankhain, hastaaa chehra
Ek mujboor bahana hai
Chaand me such mouch, noor kahan hai
Chaand to ek viraana hai
Mujhko tanha chor ne waale
Tu na tanha rah jaye
Jis pe tujh ko naaz hai itna
Uska naaam zamana hai

Chahna Kisi Ko Asaan Nahi Hota,..
Chahat Kisi Ke Liye To Dil Se Nikalti Hai,..
Humne Chaha Tha Tumhe Dil-o-Jaan Se Jaanasheen,.
Afsos ke Tumhe Chahat Ki Kadar Na Thi,..

gum na ker tujhey bhi kesi ki baahoow ka har mil jayga
ek na ek rooz jidngi ka khitab mil jayga
taqdeer ko mat kos apni kabhi na kabhi mukader teyra khul jayga...
mauss na hu ek din tujhey teyra pyar jaroor mileyga....

Mayoos mat hona yeh ek gunnah hota hai
Milta wahi hai jo qismat main likha hota hai
Har cheez miley humain yeh zaroori tou nahi
Kuch cheezon ka zikar doosre jahan main hota hai
Jo khud ko kostey hain woh shayed bey-khabar hain
Kuch paalene ka ikhtiyar khud pe bhi hota hai
Apne samne bhi tou aik ayeena hota hai
Hum apni zindagi se kiun haar jayein
Gar doobta hai sooraj tou kal phir saveyra huta
hai...



Tune Samjha Hai Zindagi Sab Kuch Hai Yahan Pe,.
Ek Din Yahi Tujhe Maut ke Godd Mein Chord
Jaayegi,..

Maut To Haqeeqat Hai Apni Zindagi To Khwaab Hai,..

Zindagi Ne Diya Har Kisi Ko Dhoka Ye Tujhse Kya
Wafa Nibhaayegi,..


AANKHON se hi mohabbat ki shuruat hoti hai,
AANKHON se hi mohabbat parwaan chadti hai.......
in aankhon ki kismat to dekhiye e-DOSTON,
wo door raha kar bhi inhi aankhon me basti
hai......

Kya tareef karoon tumhari.....
Tumhare Husn dekh ke humne apna sirr jhukaya
hai.....
Kahin koi dekh na le tumhari jhalak meri aankhon
mein.....
Isliye main tumhe apne Dil me basaya
hai.......!!!!!!!!!

aa tujhe fir se jindagi bana lu main
fir se tujhko apna bana lu main
ek kushboo basi hai meri saanso mein teri
apne kajal ki tarah tujhe aankho mein basa lu main

Nigaahein Milkar Kiya Dil Ko Zakhmi
Adaaein Dikhara Sitam Dhaa Rahe Ho
Wafaon Ka Bhi Kya Khoob Badla Diya hai
Tardapta Hua Chord Kar Jaa Rahe Ho

aankhen jab hui unse char
har gaye dil apna unke darbaar
na raha khud ka pata na dil ka
bas yaad raha chehra dildaar ka



Teri in shokh saanson par
Chhupaa kar rakhi pyaason par
Teri dharati pe barasunga
Kaan kann pyar likh dungaa

Kabhi maawa na kaali ho
Teri har shab diwaali ho
ter Nasseb ki kitaabon mein
nayaa sansaar likh dunga



Nazaron se tumhe pyar karke apne dil ko maala maal
karein,
Sakoon mill sake mohabbat-e-jazbaat se is tarah
deedar karein,
Samaa jaayein tum mein kuch is tarah se
Khojne jo chale hum khud ko paa na sakein...

Teri saanson pe haq de diya,yeh ehsaan tumhara
hai,
is dil me jitna pyar hai, sanam yeh sara pyar
tumhara hai....
tujhe baahon me bhar loon ek baar, choo loo teri
dhadkano ko,
ghol doon saanson me saansen, choom loon main
tujhko,
teri zulfon ke tale bitaun har shab, ab aisa
armaan humara hai,
teri saanson pe haq de diya, yeh ehsaan tumhara
hai.........




Log Badal gaye,
Zamana badal gaya,

Hum aankh se door kya hue,
Unka thikana badal gaya,

Ziqr-e-mehfil aksar hote hain naye rishte,
Aur hamari kismat ki pyaar purana badal gaya,

Hume tha naaz jinki wafa-parasti par,
Aaj wo mera deewana badal gaya,

Wafa-haya-eklakh-ada-nasha-ibadat,
Sab hi to tha mere yaar me,

Phir hui kya saazish posheedgi me,
Ki unka andaaz wo aashiqana badal gaya,

Hum apne dil ki baazi lagaye baithe,
Udhar unka wo dil lagana badal gaya,

Mere aane se jis sheher me aayi thi raunak,
mere jaate hi wo sheher purana badal gaya,

Maana ki ab tere gird raqeebon ki kami nahi,
Ab to fitratan tera wo pyaar nibhana badal gaya,

Kehte hain log humse ki ab hum wafa-shaar nahi,
Shayad ab hamara wo andaaz munsifana badal gaya,

Hum aankh se door kya hue,
Unka thikana badal gaya......


mousame badalin ruten badlin aasman badale
jinko chaha tha bahut unke bhi andaaz badale
nazaren bhi badlin aur tour baat ke badale
saari duniya hai meri badali kyun na main badali?
chahaten kaise badal saktin hain batalade koi
kya rafeeqon ko kabhi usase maine toula hai
ye shahar kuchh bhi nahi dil ka chaman tha mera
bas sake ya na base maine ye socha hi kab
meri ik soch hai jo mujhko kiye jaati hai bas tang

usko likhna hai mujhe jo ki mujhe padhta nahi
sare andeshe hain bemani kaash sach hote
kaash mousam se badal sakne wale ham hote
ham ne socha hi hai kab koi aur soch nahi
vo hai bas vo hi rahega na koi aur
nahi...............


Bichad gaye to milne ki aas kya rakhna,
Hawa ke jhonkon ka hisaab kya rakhna,

Bas isi khayal se muskura diye hum,
Apni udaasi se kisi ko udaas kya rakhna,

Hum aaj bhi gham-deeda hain "Tarun",
Par dariya me reh kar pyaas kya rakhna,

Mere ishq-e-junoon me hosh ki kami na thi,
Main chup raha ki ek bewafa se aas kya
rakhna......

kisi shaam yaad ki dehleez par
maine tujhko pukara tha phir is tarah
dil tha khinch sa gaya aankh purnam hui
raat ranjeeda ranjeeda shabnam hui

silsila ek jaari hai kab se sanam
bhoolane ka tujhe aur yaad karne ka
par khatm hota hardam ye yaadon pe hai
haan subah ki shuruwaat karti hun main
ek koshish se ki main tujhe bhool jaun
sari subah ek jaddo jahad hai meri

is tarah thak gai har dophar main
yaad karne lagi tujhko phir khil gai
shaam hoti hi hai yaad karne ke liye
laakh chaha magar yaad tu aagaya

ik khyaal aisa hai tu main tujhko likhun
meri sochen kabhi rukane paatin nahi
tujhko likhti hun hamdam tu padhta nahi
ispe bhi dil se mere tu jaata nahi.....



raat aai aur taare chamke hain
zehan me phir kyun chehra tera hai
ye ik adaat hai ya museebat hai
jab kabhi tanha hue aaya tu
kabhi dil ki koi chahat ban ke
kabhi naghma kabhi aansu ban ke
kabhi dil hi diye sa jalne laga
socha jab tu nahi hai paas mere
jaa chuka hai par phir bhi dil me hai
jyon koi seep ho samandar me
naqsh hai zehan me teri tasveer
dil pe likha hai har kaha tera
aur tu door kahin hai mujhse
kaise kahdun ke mera khwaab hai tu



_________________








Reh Rehkar Deti Hai Chotein Dil Par Uski
Chahatein,..
Kaise Bhoola Dein Hum Jo Kabhi De Thi Ye Bhi
Raahatein,..

Aaj Kuch Aisa Haal Hua Hai Ke Wo Hume Bhoolaane
Laga...
Bana Tha Mom Se Dil Mera "Jaanasheen" Aaj Use Wo
Jalaane Laga,...

Kaise Bedard Hai Sanam Mera Jo Na Jaan Saka Dil Ke
Dard KO,..
Dekar Chot Dil Ko Mere Aaj Wo Muskuraane Laga,..

Hogi Kami Jab Meri Royega Wo Tanhaaion Mein,...
Yaad Karega Mujhe Dhoondega Mere Nishaan
Parchaaion Mein,..

Jitna Chaha Maine Usko Na Chahe Ka KOi Is Zamaane
Mein,,
yaad Karega Mujhe Wo Aur Jurrat Na Karega Phir Dil
Lagaane Mein,,.




main dukh ki ek raah par hun chal sako to saath do

hain ashq saath aahen bas jo chal sako to saath do


fareb itane kha chuke sitam sahe hazar hain
tum gar koi naya sitam jo dha sako to saath do

na rang hai na noor hai bas sadgi hi saath hai
jo inse tum nibha sako to bas phir mera saath do



_________________





jo door hi hona tha to kyun mujh se mila tha
jo dil hi dukhana tha to kyun hans ke mila tha

vaade bhi kiye aur unhe bhool bhi baitha
kya isliye hi tune bas mujhko chuna tha

apna hai dil bas aisa ik sach ka paristaar
kyun jhooth kaha mujhse kyun khwaab buna tha

ham vaise bhi uljhan me din raat hi uljhe the
ik tu jo mila hamne bhi hans ke dekha tha

ik khwaab bana tu hai ya waham ki parchhai
aisa hai fareb hota auron se suna tha




apne aansu bhool chuke ham bas ik tu ab rona na
saare dukh ham bhool ke baaithe phir vo qissa
kahna na
rusvaai ka ab dar kaisa ab to waqt bahut hai kam
saara jeevan dar ke jiye hain ab ham se ye hoga na

usake aansu moti jaise ek ladi me piro liye
haar bana vo jeet hai meri ab mujhse kuchh kahna
na...............

________________

main kuch na kah sakungi
hai kqismaten kuch aisi
tujhse na gila hai
dil ne jo bhi chaha
vo door hua hamse
ab kon raha hai
ik khwab ka jaadu hai
dil pe mere chhaya sa
main qed vahan hun
mujh tak nahi aati hai
koi sada kahin se
main aise jagah hun
tu haath na jalana
ik jalata khwab me hun
tu lagta bhala hai
mera hai jo naseeba
vo mujhko mila hai
main ab na chup rahungi
bas tujh se kahungi
main khwab hun gardish ka
na dekh mujhe aise
main hun ek uljhan
bas rah tu door mujhse
tujhko jo dukh hua to
mujhko bhi dukh hi hoga
mera mujhe sahne de
tu bahut bhala hai.................

tere bin ham to ae jaana ab hansane se rahe
ji rahen hain magar khush ho ke to jeene se rahe
dil ka angan bhi hai suna meri aankhen sooni
ab koi khwaab zehan me hai na tasveer kahin
khwab sa tha jo hasin khwaab hi vo ban hai gaya
aise khwabon ki bhi taabeer na achchi hoti
zindagi bhai nahi khwaab me ham gum hi rahe
jo bhi hamko hai mila usame tujhe dhunda kiye
aur jab pana sake ashq phir baha dale
itna lamba na koi khwaab kabhi dekhe koi
zindagi khatm hui khwaab magar khwaab rahe_________________

No comments:

Post a Comment